|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: yeh namoonah hai miree bigRee huyee taqdeer kaa |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
86 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 2 |
Fazal-ur Rehman Khan Anjum Shadani |
84 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 3 |
Ateeq Khan Saba |
82 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 4 |
Amjad Nabeel |
80 |
Doha, Qatar, Qatar |
| 5 |
Muhammad Munir Qasim |
78 |
Peshawar, Nwfp, Pakistan |
| 6 |
Zia Baloch Zia |
76 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 7 |
Muhammad Aslam Fareedi |
74 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 7 |
Ali Mohsin Moon |
74 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 9 |
Yasir Farooq Yasir |
70 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 10 |
Sara Jabeen |
68 |
Shiloh, Illinois, Us |
| 10 |
Mohammad Hidayatulla Fahmi |
68 |
Anantapur, Andhra Pradesh, India |
| 10 |
Khalid Saifullah Raaz |
68 |
Quetta, Balochistan, Pakistan |
| 13 |
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi |
66 |
Kinshasa, Kin, Democratic Republic Of Congo |
| 13 |
Sajid Hashmi Sajid |
66 |
Rajgarh(biaora)m.p., M.p., India |
| 15 |
Muhammad Irfan |
60 |
Gujranwala, Punjab, Pakistan |
|
|

Previous winners

#1
Tanwiruddin Ahmad Phool
rah geya paansa palat kar har nai tadbeer ka
yeh karishma hai meri bigri hui taqdeer ka
so raha hai aaj munsif jaae faryaadi kahaan?
kuchh bataao keya hai masraf adl ki zanjeer ka!
khaak se paidaa hui hain yun to saare aadmi
wasf-e-taqva hai sabab insaan ki toqeer ka
bhool bathi naam ranjhe ka hamaari nasl-e-no
kaun ab hai sunne waala daastaan-e-heer ka!
jane keya neeat hai is ki? aa rahaa hai keyun qareen?
dekh kar sayyad ko dharka hai dil nakhcheer ka
maajra dil ka zabaan par naa-mukammal hi raha
kuchh taghaaful aap ka baais hooa taakheer ka
hai khajil bijli muqaabil us but-e-tannaaz kay
raam karna shokh ko laana hai joo-e-sheer ka!
yoon to guzre hain sukhanvar is jahaan mein aur bhi
hai magar rang-e-sukhan sab se niraala meer ka
raushni hi raushni aur zeest ki sargarmiyaan
kaarnaama hai jahaan mein mehr ki tanveer ka
aag seene mein lagi hai bujh naheen sakti hai phool!
dil nishaana ban geya us ki nazar kay teer ka!
|
|
Back to top

#2
Fazal-ur Rehman Khan Anjum Shadani
khalq aai hay tamasha dekhnay nakhcher ka
bol-bala ho raha hay aaj un kay teer ka
choot kay zindan' say qaim hain whi pabandian
sath lay aay khusi main silsila zanjeer ka
aaj agar guzra tu phir kal ki khabar kuch bhi nahi
parh nahi sakta koi likha hoa taqdeer ka
aadmi kaisay karay tazeen'ay aiwan'ay hayat
sekroon takhreeb kay pehlo hain, ik taameer ka
apni surat dekh leejiay aakay meray samany
meri aankhain aaina hain aap ki tasweer ka
maangta hon jab bhi main tark'ay mohabbat ki dua
mujhko milta hi nahi ik hrf bhi taaseer ka
perahn kion fasl'ay gul hi main hoa karta chaak
dhondiay yeah raaz anjum ishq'ay damangir ka
|
|
Back to top

#3
Ateeq Khan Saba
hausla jin mein nahin hota kisi tadbeer ka
baith jate hain bharosa kar ke woh taqdeer ka
toota yun rishta duaaon se meri taaseer ka
mere khwabon ne na dekha munh kabhi taabeer ka
jis ko bhi apna banaata hun woh deta hai dagha
? yeh karishma hai meri bigri hui taqdeer ka ?
dosti, ikhlaas -o- ulfat ki fazayen ab kahaan
aaj mausim hai faqat bandooq ka, shamsheer ka
sangdil hote hain kitne phool se nazuk haseen
doosra rukh aapne dekha kahaan tasveer ka
bus wohi ahl-e? hunar duniya mein pahchane gaye
jin ke fun ko mil gaya mauqa koii tashheer ka
kho diya bhaaii ko gar main ne to kya ghum ae saba
bun gaya maalik to tanha baap ki jaageer ka
|
|
Back to top

#4
Amjad Nabeel
jurm koi bhi nahin aur silsila taa'zeer ka
"ye namoona hai miree bigree hui taqdeer ka
khwaab maine jab sunaaya vasl ka kehne lage
haan acar hota hai ultaa khwaab ki taa'beer ka
daur-e-haazir ke naye shaa'ir ko yaarab kar ataa
zehn ghaalib ka, jigar iqbal ka, dil meer ka
aaj tak tum ko javaan rakhaa hai her ik she'r mein
hai kamaal is mein hamaari shokhi-e-tehreer ka
jhonpari mein rehne vaalon ka khayaal aane laga
jab iraada kar liaa ik qasr ki taa'meer ka
kis qadar mohtaat ham ko kar dia hai ishq ne
her gharee hai khauf taaree ik nayee taqseer ka
kaatib-e-taqdeer se hotaa nahin sehv-e-qalam
gham milaa jo bhi hamen voh sehv tha tadbeer ka
kis qadar aasaan hai us ko chaahate rehna nabeel
lab pe ik harf-e-vafaa , laana hai joo-e-sheer ka
|
|
Back to top

#5
Muhammad Munir Qasim
ho gia usko manana kaar joo-e-sheer ka
kia hamaray darmiyaan hay mas'ala kashmeer kar?
amr-e-kun say ab talak hasti hay sargarm-e-safar
paay gardoon per bana hay aabla tanveer ka
likh kay qaid-e-zindgi uss nay qalam rakha naheen
sahv-e-aadam ko likha moujab mayri ta'zeer ka
chaa chuka hay khawraan per abr-e-tehzeeb-e-frang
chup gia sooraj meray aslaaf ki tauqeer ka
jab naheen insaaf milta shah kay darbaar main
kuch na kuch maqsad tu hay aakhir wahaan zanjeer ka
chaak dil hay teer bhi, sadmay say dohri hay kamaan
dast-e-zaalim main hoa qabza bhi shaq shamsheer ka
kia kahoon "qasim" keh haq mannat kash-e-baatal hay aaj
"yeh namoonah hay meri bigri hoi taqdeer ka"
|
|
Back to top

#6
Zia Baloch Zia
mu'jiazah ik yeh bhi hogaa i'shq kee takbeer kaa
aek ik halqah pukaaregaa miree zanjeer kaa !
ab tamaashaa khoob hogaa jalwah-gaah-e-husn main
ab naz^aaraa ham bhi dekhenge tiree shamsheer kaa !
yeh tiree zulfon ki uljhan jo sulajhtee hee nahin
"yeh namoonah hai miree bigree huyee taqdeer kaa"
thak chhuke ham , waqt ko bhi aazmaa kar thak chhuke
zakhm bhartaa hee magar kab hai, naz^ar ke teer kaa
u'mr saaree kat gayee aaraai'sh-e-kaakul kiye
raaz ab jaa kar khulaa hai gardish-e-taqdeer kaa !
safha-e-dil par likhon , khoon-e-jigar se main use
haq adaa hogaa nahin tab bhee kalaam-e-meer kaa !
jaantaa hon waqt dhaayegaa mire ghar ko :zia:
kyaa kiyaa jaaye magar is jazbah-e-taa'meer kaa
|
|
Back to top

#7
Muhammad Aslam Fareedi
namaber keya haal toonay kar dia tahreer ka
shaam say utra hai chehra aashiq-e-dilgeer ka.
aye meray allaah koee maslehat hogi zaroor
is liay makhfi hai abtak aaeina taqdeer ka.
khab abtak to koee dekhay na aankhon ne kabhi
kaisay mumkin hai ke inko ilm ho taabeer ka.
too giraani ka kaheen bhi tazkira karta naheen
rung phikaa hi rahega teri her taqreer ka.
uski nazron ka ye ehsaan dil abhi bhoola naheen
phool ban kar khil raha hai zakhm jiskay teer ka.
kaisay karloon zindagi ka itna mushkil faislaa
aik rukh dekha hai mainay jab teri taswweer ka.
phir rahay hain bersar-e-bazar ye ahl-e-junu
jab qafas koee naheen phir zikr keya zanjeer ka.
unkay aanay ki tawaqqo hai ajal rukjaa zara
dekhnaa hai rung apni aah ki taaseer ka.
aye fareeedi jo moyassar hai usi per shuker kar
too mita saktaa naheen likhha hua taqdeer ka.
|
|
Back to top

#7
Ali Mohsin Moon
kya zaroori hai mohabbat main amal tafseer ka
jabke nuqtay main samandar aagaya taqreer ka
zindagi woh rukh hai jisko dekh kar jee bhar gaya
doosra rukh dekhne jayen kahan tasweer ka
qabr boseedah pari hai ab usi maymaar ki
yeh silah paaya hai usne qasr ki taameer ka
dekh kar qatil nazar se usne abroo kham kiye
teer ko rokoon ke dekhoon waar main shamsheer ka
aaj bhi unwaa'n wohi hain mere khat ka dosto'n
jo kabhi samjhay nahin matlab meri tehreer ka
jin ki taqdeerain bana dee'n qom ki khairaat ne
faisla woh karrahay hain qom ki taqdeer ka
teri aankho'n main jo dekha dil hi hum se phir gaya
ab koi apna nahin is aashiq e dilgeer ka
khuwaab main to aarahay hain muddato'n se woh magar
waqt ne chehra na dikhlaaya kabhi taabeer ka
kya zamaana aagaya hai uth gayee hain chahatei'n
naam rishto'n ko diya hai paoon ki zanjeer ka
keh gaye kya kya woh ghazlai'n hum kahain gay kya ae moon
bas ghazal kehna to haq ghalib ka tha ya meer ka
|
|
Back to top

#9
Yasir Farooq Yasir
poochte ho tum sabab ik be-sabab taazeer kaa
is tarah kiya dil barhaya jata hai dilgeer kaa?
aik aalam hai diwana dil-ruba taqreer kaa
poora hona youn kisi ki kha?hish-e-tauqeer kaa
maaf kerna , bhool jana , loogon ki aadat nahien
hai khata ik aur kerna , maan?na taqseer kaa
ho gaya shehr-e-khamooshan door tak aabad aaj
khoub tha wa?da tumhara shehr ki taameer kaa
manzil-e-maqsood ko hi bhool betha kaarwan
tazkira itna ba?rha hai kaarwaan ke meer kaa
ne?matoon ka az?dihaam aur ye mera shoor-e-gilah
ye namoona hai meri bigri hoi taqdeer kaa
dil-qalam se likh diya yasir ne jo kuch likh saka
ab sawaal allah se mujh ko hai bas taaseer kaa
|
|
Back to top

#10
Sara Jabeen
waaqiaah hai ye kisi badbakht kii taqdeer kaa
subhdam her samt thaa ik silsilah zanjeer kaa
ik rupaihli surkh jora jou nah zeyb-e-tan houaa
"yeh namoonah hai miree bigree huyee taqdeer kaa"
yeh hina ka rung jou haathon se utra bhi na tha
par gaya madham suna jab khwaab ki ta'abeer kaa
goonj mein shahnaiyon ki aah dab ker rah gayi
bebasi rukh per thii aur aks aankhaon mein tasveer kaa
chunchunaati chooriyon ke toot'ne kaa shour hei
jaise zindaan mein kisi ke paaun kii zanjeer kaa
chashm tar thi kaanpte haathon se jab kholi voh khat
chaayii zulmat, lafz her ik mit gaya tehreer kaa
hougayaa saara kaa daaman tar bahe jab ashk-e-gham
dekhiye anjaam kyaa hou aah kii t'aceer kaa.
|
|
Back to top

#10
Mohammad Hidayatulla Fahmi
muntazir hai aashiq-e-bismil nazar ke theer ka
gam nahin ab zindaga ka, qaid ka, zanjeer ka
juz tabassum, koi marham zaqm bhar sakthaa nahin
de gayeen thirchee nigaahen zaqm-e-dil shamsheer ka
yeh jabeen, abroo, ye aankhen, yeh lab-o-rukhsaar-o-zulf
rukh hai yaa moojib khudaayee ke kisee tash'heer ka
bas ye hasrat thee ke dekhon aankh bhar kar ik nazar
aankh bhar aayee jo dekha hashr har tadbeer ka
be sabab mujh ko nikaala theri mehfil se sadaa
kab mujhe thaa ikh'tiyaar aye chaaragar thaqseer ka
ik taraf hai husn-e-jannath, aur udhar deedaar-e-yaar
deedaye hairaan khadaa hun buth bana tasweer ka
jaan se nazdeek hai lekin nazar se door thar
" ye namoona hai meree bigdee huyee taqdeer ka"
khwaab thaa khatraa samandar men giraa, zam ho gayaa
main azal se muntazir hun, khwaab ki taabeer ka
kaun jaane kab khafaa ho, khush ho kab kis baath par
us ko khush rakhnaa hai "fahmi" kaam jooy-e-sheer ka
|
|
Back to top

#10
Khalid Saifullah Raaz
khwab men jab se lia bosa tiree tasweer ka!!!!
ik junoon taari hai mujh per khwab ki tabir ka
war jab ulta pare insan per tadbeer ka!!!!!!!!
tab samajh aata hai uss ko falsifa taqdeer ka!
qehkahe uss shokh ke jaise kissi naghme ki dhun
ya koi jherna rawan ho wadi-e-kashmir ka!!!!!!!
chandd gird aalood naqshe teh ba teh mehroomian
yeh raha anjaam meri hasrate tamir ka!!!!!!!!!!
abb waqoofe shaoq ki fursat na zaoqe aagahee!!!
yeh namoona hai meri bigri hui taqdeer ka!!!!!!
silsilae irtakabe jurm ruk sakta nahee!!!!!!!!!
adl jab tak muntazir hai junbashe zanjeer ka !!
sheikh ka joshe khitabat dekh ker aisa lage!!!!
waaz fermane ke peeche shaoq hai taqreer ka!!!!
"raaz" uss teekhi nazar ki zadd men aana hosh se
kab uter jai jiger men kia bharosa teer ka!!!!!
|
|
Back to top

#13
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi
rang kaise ho gayaa hai, zard ye tasveer kaa
sabz they jab khwaab saare, surkh kyon taabeer kaa
khud hii apane fael se kar ke kharaabi, kehte hain
ye namoonaah hai merii bigree huyee taqdeer kaa
aap ki aakhon se hii jab ho gayi binaai gum
dundhte ho nuks kyon phir chaand ki tanveer kaa
dil bharaa hai bugz se jab, kisb hii se kibr se
phir kyaa matlab hai tere aheraam ki taqbeer kaa
hai salaaton, saum o haj baaqi jo ab tak daher men
ay musalmaan hai ye ehsaan din par shabbeer kaa
mareqaa sar ho gayaa har eak kalam ki nauk se
kaam kyaa baaqi bachaa hai ye kaho shamsheer kaa
eak guzaarish kar rahaa hai aaj 'tashna' aap se
yun tamaashaa naa banaao tum meri tehreer kaa
|
|
Back to top

#13
Sajid Hashmi Sajid
eik pehloo aur khwab-e-ishq ki tabeer ka
dil diwana hai tumhaari khushrawee tasveer ka
dekh lene se tar-o-taaza hue hein zehn-o-dil
naam kya rakhkhoon tumhari jaaduee taseer ka
wo mere khwabon me aaye muskuraae chal diye
mein to takta reh gaya houn rasta dilgeer ka
sirf nazron se kiya ghayal mera poora wajood
kaam kerti hai tumhaari aankh bhi shasheer ka
youn giraftari huee ke phir rihaa na ho saka
mein to qayal ho gaya houn zulf ki zanjeer ka
shayerana pyaar se toote hue dil jorh do
kaam lo sajid ghazal se mulk ki tameer ka
husn pe likhta houn mein ashaar sajid isliyen
rang khul jata hai meri ghazaliya tehreer ka
|
|
Back to top

#15
Muhammad Irfan
kya sila dil ko milaa dil mei teree tasveer kaa
naqsh-e-faryadee hai teree zulf kee zanjeer kaa
zindagee aur maut kay maabain ashiq ka hizr
ghoomta phirta hai ghayal khawab kee shamsheer kaa
aap nay chorha anaa kee dhajyon kee raah mei
hissa yeh milnaa thaa mujh ko pyaar kee jaageer kaa
yeh hai taqaza chah ka, kay aap muskaatay nahee
aur gungunaatay hum bhee hain qissa gham-e-dilgeer kaa
yeh maan kyun laitay nahee,wo cheez jo apnee nahee
daaman nahee kyun choott'ta mujh say teree taabeer kaa
jaanay lago jis pal bhee tum, aankhain na apnee kholna
na waar seh paaey gaa dil, ek uss nazar kay teer kaa
na hee kaheen alfaaz hain, na warq rang alood hai
yeh namoona hai meree bigrhee huee taqdeer kaa
|
|
Back to top


Previous Winners
June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|