|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: tum zabaaN se apnee keh do ge to kyaa ho jaaYe gaa? |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Sajjad Sukhan |
90 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 2 |
Muhammad Aslam Fareedi |
88 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 3 |
Ateeq Khan Saba |
86 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 4 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
84 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 5 |
Mohammad Hidayatulla Fahmi |
82 |
Anantapur, Andhra Pradesh, India |
| 5 |
Yasir Farooq Yasir |
82 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 7 |
Wali Alam |
80 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 8 |
Muhammad Ahmed Ahmed |
78 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 9 |
Sajid Hashmi Sajid |
76 |
Rajgarh(biaora)m.p., M.p., India |
| 10 |
Jafar Sayad Jafar Cholasi |
74 |
Cholas D. Noida, Uttar Pardesh (u.p.), India |
| 11 |
Faizan Masood Faiz |
70 |
Islamabad, Federal Capital, Pakistan |
| 12 |
A.h. Khan Hawa |
66 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 13 |
Ainulhaq Wataee |
58 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 14 |
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi |
50 |
Kinshasa, Kin, Democratic Republic Of Congo |
|
|

Previous winners

#1
Sajjad Sukhan
jiska dil waabasta-e- sabr-o-raza hojayega
baynayaz-e-gardish-e- subh-o- masa hojayega
ik uchat-ti si nazar bas ek tabassum ki kiran
aapka kia jaaeyga mera bhala hojayega
phool sa chehra yah mast aankhain yah paikar yah shabab
ek main kia jo bhi dekhayga fida hojayega
shiddat-e-jazbaat zarray ko banaday aaftaab
ishq hojaaye to path-thar bhi khuda hojayega
kooy-e-qaatil main anal-aashiq ka naera-zun ho main
jaan to jaayegi wafa ka huq adaa hojaayega
dil main kia hai sirf aankho ki gawahi chahiyah
aap k kahnay meray sunnnay say kia hojayega
aatay aatay aayega tumsay bicharnay par qaraar
hotay hotay dil mera ghum aashna hojaayega
dast-e-qudrat nai tarashay hain tumharay khad-o-khaal
jiskai hojaogay tum oska khuda hojaayega
sainkron dil hain hadaff bannay ko kabsay muntazirr
aapka teer-e-nazar kaisay khata hojaayega
baiwafaai par mubarakbaad daini hai tumhain
jab kabhi mera tumhara saamna hojaayega
yonhi hanss hanss kar muhabbat say agar dekha kiyah
ik sukhan kia saara aalam aapka hojaayega
|
|
Back to top

#2
Muhammad Aslam Fareedi
keya pata tumko ke lub khulnay say keya hoja-e-ga
dil pa jo guzri hai abtak wo gila hoja-e-ga.
teray paikar ki sabahat jab bani unwan-e-fikr
keya pata tha ye kheyal ek aaina hoja-e-ga.
phir wohi shab ki khamoshi phir wo yadon ka hajoom
aisa lagta hai ke dil phir ek diya hoja-e-ga.
jisnay aadab-e-jonu seekha hai wo ye jaanlay
ishq to phir ishq hai zanjeer-e-pa hoja-e-ga.
unki aankhon me hain posheeda bahut say mojezay
aik jumbish me najaanay keya say keya hoja-e-ga.
karwatain kuch istarah badleen zamin-e-pak nay
keya khaber thi pal me ek mahshar bapa hoja-e-ga.
wo nishani-e-manzil-e-taaza abhi baqi to hai
teray waqton ki yahi aawaz-e-pa hoja-e-ga.
hum qafas hi me manatay hain agar jashn-e-bahar
phool kay khilnay ka mosam be-maza hoja-e-ga.
anjuman dar anjuman gunjay gi teri sha-e-ri
aiy fareedi too mohabbat ki sadaa hoja-e-ga.
|
|
Back to top

#3
Ateeq Khan Saba
mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega
ghair kya har dost bhi mujh se khafa ho jayega
tum nahin aye agar to aur kya ho jayega
ek mareez-e-ishq bas nazr-e-qaza ho jayega
usko bhi lagne lagi hai is zamane ki hawa
mujhko andesha hai woh bhi be-wafa ho jayega
jab nigahen kah rahi hain pyar ki ek dastaan
"tum zaban se apni kah do ge to kya ho jayega"
ab khuda ke waste mat haal mera poochhna
mundamil zakhm-e-jigar phir se hara ho jayega
kaun phir usko bacha sakta hai lutne se "saba"
raahzan hi jab ameer - e -qafla ho jayega
|
|
Back to top

#4
Tanwiruddin Ahmad Phool
gar karam rab ka na ho to kia se kia ho jaae ga!
bar zameen-o-aasmaan mahshar bapa ho jaae ga!
kaargaah-e-dahr mein kia tujh ko yeh ehsaas hai?
zeest ka lamha samand-e-baad-e-pa ho jaae ga!
woh adaalat jab lage gi hashr kay maidaan mein
sar nigoon us din har ik jhoota khuda ho jaae ga
yaad aajaae ga har zeerooh ko ahd-e-alast
zehn mein taaza jo paimaan-e-bala ho jaae ga!
tu agar khud beeni mein ho ga musalsal mubtala
soch ka andaaz tairi yak rukha ho jaae ga!
aae but-e-tannaz aashiq ko na de itna faraib
tairi ayyari ka charcha ja-ba-ja ho jaae ga!
woh sitamgar ham se husn-e-khulq ka talib hai phool!
aaina us ko dikhaya to khafa ho jaae ga!
|
|
Back to top

#5
Mohammad Hidayatulla Fahmi
muskuraa kar yun na dekho haadisaa ho jayegaa
haasidon ke shehr men meh'shar bapaa ho jayegaa
tum agar nazren jhukaalo zindagee ban jaayegi
warna har zakh'm-e-thamanna phir haraa ho jayegaa
zindagi bhar jis ki har khwahish pe mar mar ke jiye
kyaa pathaa tha ek din woh be wafaa ho jayegaa
chat pe kawwe ki sadaa shaayad ab aayegaa jawaab
ek pal men zindagi ka faislaa ho jayegaa
khaamushi jaan-e-hayaa iqraar samjhenge magar
"tum zabaan se apni keh do ge to kyaa ho jayegaa"
zakhm par yun to chidaktee hai namak dunyaa magar
gham tumhaari muskuraahat se sivaa ho jayegaa
tum nazar mat pher lena ras'm-o-reh rakhnaa ravaa
do dilon ke darmiyaan ek raasta ho jayegaa
qatl kar daale kayee aashiq jo fahmi woh haseen
chand sajdon ke iwaz kya paarsaa ho jaayegaa
|
|
Back to top

#5
Yasir Farooq Yasir
kiya mere kehne se us ka dil baraa ho jaaye gaa?
bus yahi ho ga keh kuch aur faslaa ho jaaye gaa
hum khata-karoon ke under hasratoon ka dasht hai
dil main jab aansoo girain ge dil haraa ho jaaye gaa
wos?at-e-aflaak main saamaan-e-sermasti hai ghum
zouq-e-nazzara ataleeq-e-wafaa ho jaaye gaa
pur-aqeedat raastoon main aql ghum ho jaaye gi
aaj ka muhtaaj kal hajat-rawaa ho jaaye gaa
dhul to jaaye ga mager nazroon main jach?ne se raha
daagh perte perte daaman bad-numaa ho jaaye gaa
kiya zarori hai koi apni zabaan se bhi kahe
shukriya mamnoon aankhoon se adaa ho jaaye gaa
her kisi se teri hi batain kare ga subh-o-shaam
dekh le ga jo tujhe rangeen- nawaa ho jaaye gaa
aey sitaroon ! pooch?ta hoon tum se khaliq ka pata
tum zabaan se apni keh do ge to kiya ho jaaye gaa?
zil?ziloon ko qudrati aafat ager kehte rahe
ibratoon ki qatl-ghah , ibrat-kada ho jaaye gaa
ehtiyaat ach?chi hai yasir arz-e-haal-e-dil ke waqt
hum kahain ge haal apna aur gilaa ho jaaye gaa
|
|
Back to top

#7
Wali Alam
yeh na socha tha keh dushman jaan ka ho jaey ga
daikhtay hee daikhtay woh dilruba ho jaey ga
muskura kay daikh lain pa jaoon ga gham say nijat
aap ka bigray ga kia mera bhala ho jaey ga
ho na ho aanay laga qatil adaee ka shaoor
daikh laina kal woh zalim kia say kia ho jaey ga
badbaan uthtay hi kashtee par qayamat aa gaee
na khuda tha yeh khabar kab thee khuda ho jaey ga
tarjumani dil ki kar daitee tou hain aankhain magar
"tum zuban say apni keh do gay tou kia ho jaey ga"
toot kar kia chahna woh samnay aata naheen
is tarha tou woh but-e-kafir khuda ho jaey ga
hamsafar ho roshni tou phailtee ha roshni
yoon guzar jain tou roshan rasta ho jaey ga
jada-e-manzil hi manzil ha adab ki dosto
ahl-e-fan aatay rahain gay qafla ho jaey ga
|
|
Back to top

#8
Muhammad Ahmed Ahmed
rutt gulabon ki khafa ho bhi to kia ho jaay ga
main tumhen sochoon ga sehra bhi hara ho jaay ga
raaste main shaam ho jaay to koi gham naheen
chandni tera tassa?vur , dil dia ho jaay ga
dil ke mosim ho rahay hain ab tamaazat aashna
taai?r-e-shehr-e-baharaan phir juda ho jaay ga
chashm-e-tar main bhar ke shikve hum falak dekha kiaay
kya khabar thee aasmaan hum se khafa ho jaay ga
hanstay hanstay sun raha tha qissa-e-gham wo mira
main ne socha hi na thaa wo gham zada ho jaay ga
meray ghar bhi aay ga wo baad meray qatl ke
dast-e-qatil dekhna dast-e-du?aa ho jaay ga
haan meri roshan khayli wo ehad bhi laay gi
zulmaton ko aik jugnu bhi siva ho jaay ga
konpalain khilnay lagain gi phir khizaan mosim main bhi
jab dil-e-vehshi mohabbat aashna ho jaay ga
dhoop hiddat se pareshaan hogi her mauj-e-hawa
per wo jhonka jo ussay chhoo lay saba ho jaay ga
phir koi tishna tammanna dil main ho mumkin naheen
meray rab se jab mira rabt-e-dua ho jaay ga
phir se unki sab khataain meray sar ho jaain gi
phir jahaan be-aib ho ga , paarsa ho jaay ga
|
|
Back to top

#9
Sajid Hashmi Sajid
bewafa jis roz se ehl-e-wafa ho jayega
zindagee ka lamha lamha khushnuma ho jayega
janta houn chahte ho pyar karte ho mager
tum zaban se apni keh doge to kya ho jayega
khair makdam ko chalee aaegi manzil aap hee
tere qadmon ka nishan hee rehnuma ho jayega
apni baaton me zara sheereen latafat ghol do
aap se jo bhi milega aapka ho jayega
kya khaber thi her basher rakhkhega patther hath mein
aadami ek doosre ka aaeena ho jayega
honsla rakh ker barhaao to sahee apna qadam
behte dariya me bhi yaaron rasta ho jayega
jab kabhi ikhlaas se sajid karoge shayeri
pyar ka jazba tumhaara kafiya ho jayega
|
|
Back to top

#10
Jafar Sayad Jafar Cholasi
hoslon kaa mere tufan ko pata ho jayega
jab hawaa ki zad pe roshan ik diya ho jayega
apni hajat or zaroorat ko khuda ke saamne
tum zabaan se apni kehdoge to keya ho jayega
afaton se tang akar rabita kiun tod do
us se shikwa hi karo harf-e-dua ho jayega
kaar-e-firauni pe gar naazan hai tu meer-e-sheher
ashk-e-muflis dekhna zarb-e-asaa ho jayega
hur kahegi saari duniya nusrat-e-mazloom se
zulm karke daikh tu bhi hurmala ho jayega
dil se dard-e-ishq jis din bhi juda ho jayega
meri saanson ka diya nazr-e-fanaa ho jayega
bikhri zulfein dhalke aanchal or nigah-e-shaukh se
kya pata us jaan-e-kamsin ko ki kya ho jayega
uski chaahat uski ulfat or khuloos-e-ishq par
main to phir aasee hoon zaahid bhi fida ho jayega
socha to ye tha kuchal daloon tamannaein sabhi
kya khabar thi ishq dast-e-iltija ho jayega
shab guzarte hi wo mujhko chor jayega magar
ashkon se tanhaiyon ka rabita ho jayega
dil ko jhooti hi sahi kuch to tasalli bakhsh de
mere jazbon ka yahi jafar sila ho jayega
|
|
Back to top

#11
Faizan Masood Faiz
phir se ashkon ka shuru ik silsila ho jaaye ga
zakhm dil ka kab bharay ga kab haraa ho jaega
kal talak aabad thi makeenon se wo basti kia huee
kia khabar thi ek pal main kia se kia ho jaaye ga
qalb se apne kaha tha, gham kabhi na dekh'na
ho sarapa gham, to apna aayena ho jaaye ga
ab waqt khushian laega gham ka zamana tham gaya
yeh soch ker dil ko faqat ik aasra ho jaaye ga
milay ga kia tujhay zalim mere jazbaat ko choo ke
kisi ki kaj'rawaee se, kia tu bara ho jaaye ga?
dil ko kia kahieyay, hua gul se he jo ghayal
iss pe gar kanta jo chubh jaey to kia ho jaaye ga?
gunahgaar sehi,kaafir na kahay,zahid se ye keh do
ho jaaye ga bad acha, badnaam bura ho jaaye ga
mehboob dil main hai basa to phir haram kia cheez hai
meri nazar se daikh, gum har fasila ho jaaye ga
khizar ki rah se het ker khuda ki rahguzer ko tu samajh
gar justujoo manzil ki hai, wohi rahnuma ho jaaye ga
tairay zauq e shayeri per meer o ghalib chaa gaey
faiz per bhi ik nazar ker lay to kia ho jaaye ga
|
|
Back to top

#12
A.h. Khan Hawa
unke abba se jo tera saamna ho jayega
ishq ka yeh bhoot pal bhar mein hawa ho jayega
tum siyasat mein samajhte ho use bachcha mian
ek din woh hi tumhara bhi chacha ho jayega
kar raha hai ik police kaptan ki beti se ishq
woh kisi din dekhna nazr e qaza ho jayega
uska beta cjor hai, makkar hai aur be haya
hai yaqeen woh ek din leader bara ho jayega
ab bhi gar karte rahe mujh par yunhi zulm o sitam
mere hathon khoon ik din aap ka ho jayega
chheenk ik begam ko meri aagayee hai raat mein
kal mere ghar doctor ka jamghata ho jayega
main ne humsaye se bus maangi thi uski istree
kya khabar thi is pe hungama bapa ho jayega
|
|
Back to top

#13
Ainulhaq Wataee
yoon ghazal kehta naheen woh mubtala ho jaey ga
aaeena daikhay ga charcha ja-ba-ja ho jaey ga
abb shikayat saas say beevi ki touba keejeay
phir na saloan ka rawayya na rawa ho jaey ga
uss kay dar kay oonghtay kuttay bhi hain mardum shanas
aap ja kay daikh lain kaam aap ka ho jaey ga
chand ko keun tak rahay ho dair say kia baat ha
ho gi ghar wali khafa mehshar bapa ho jaey ga
uss kay nukkar par kharay rehtay thay ham pehron magar
yeh kisay maloom tha yoon feel pa ho jaey ga
dil lagi jab kee tou acha keh kay deen aankhain dikha
shaiba tak bhee na tha acha bura ho jaey ga
kamsinon say bay rukhi ka ab wataee kia gila
umr-e-rafta ko sada dain bhee tou kia ho jaey ga
|
|
Back to top

#14
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi
ay kalam, tujh par karam, uskaa ataa ho jaaye gaa
haq likho bas, zindagii kaa haq adaa jo jaaye gaa
tarikh e firaun sab ko dars deti hai yehii
maal o zar se kab koii bandaa, khudaa ho jaaye gaa
wo bhi aaye they ayaadat ko hamaarii, isliye
zakhm e maazi dil, jigar kaa phir haraa ho jaaye gaa
hai alag har eak hasiin dil kii kahaani, thiik hai
jab jamaa ho, dard kaa bas majmuaa ho jaaye gaa
muskuraakar gar khudaa naa khaastaa mujhse mile
qu-ba-qu, har eak kadam par tazkeraa ho jaaye gaa
isliye kehta hoon mein kii, husn e zan rakhhaa karo
paak o taahiir ishq be vajaha booraa ho jaaye gaa
'tashna' jo ab tak ayaan thaa, wo nehaan hogaa naheen
tum zabaan se apnee keh do ge to kyaa ho jaaye gaa?
|
|
Back to top


Previous Winners
July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|