|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: Jin ki khaatir basti choRi naam na lo unn piyaroN kaa |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Muhammad Ahmed |
84 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 2 |
Muhammad Aslam Fareedi |
82 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 3 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
80 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 4 |
Sajjad Sukhan |
78 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 5 |
Wazir Hassan Wazir |
76 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 6 |
Wali Alam Jalali |
74 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 6 |
Sajid Hashmi Sajid |
74 |
Rajgarh(biaora)m.p., M.p., India |
| 8 |
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri |
72 |
Bangalore, Karnataka, India |
|
|

Previous winners

#1
Muhammad Ahmed
yoon to koi dosh nahi tha, kashti ka patwaron kaa
hum ne khud hi dekh lia tha aik sarab kinaron kaa
chehra chehra taktay rehna hay hum ko aghiyaron kaa
"jin ki khatir basti chhori naam na lo un piyaron kaa
jharti eentain surkh burada kab tak apnay saath rakhain
waqt chhaton ko chaat raha hay, dushman hay dewaron kaa
tez hawa ne tinka tinka, aangan aangan, daan kia
gum sum chirya taaq main bethi soch rahi hay pyaron kaa
surkh gulabon ki rangat bhi achhi hay per sochta hoon
qos-o-qazah se us ki aankhen, rang-e-haya rukhsaron kaa
kash saron ki bhi qeemat ho dastaron ke melay main
kash wafa bhi jins-e-giran ho, taur teray bazaaron kaa
dhoka denay wali aankhen dhoka kha bhi leti hain
raakh ura ke dekh to letay rang hay kya angaaron kaa
man main gham ke phool khilain to lafz mehknay lagtay hain
dil aangan bhi dekha hota tum ne khush guftaron kaa
band gali bhi khud main janay rastay kitnay rakhti hay
hum darwazay khoj na paay, dosh hay kya dewaron kaa
aisa tha ke aanchal ban ke dharti ko sukh dena tha
warna amber bhi kia kerta, sooraj, chaand, sitaaron kaa
|
|
Back to top

#2
Muhammad Aslam Fareedi
her pal jismo-jaan pe qabza rahta hai dil-daron ka
dil ko bilkul khof nahi hai khanjer ka talwaron ka
shab bher is roodad-e-alam ko sunny wala koi nahi
her lamha aahin bherta hai sannata deewaron ka
aks-e-jaan per aas ka sooraj bankerjab koi aata hai
aur chamak uthta hai chehra palkon kay in tarron ka
ghalib apny zoq-e-talab ki khatir thay badnaam mager
maikash ki in galiyon ko to naam na do baazaron ka
kaisi khushboo phot rahi hai teri meethi baaton say
hamnay rang ajab dekha hai aaj teray beemaron kaa
aisi kerwat dherti nai li saaray gher mismaar huaye
reza reza ho ker bikhra sheeraza bechaaron ka
janay kab say meri ghazleyn dil unkaa bahlaati hain
ab tak jin ki aankhon mein hai rang meray ash-aaron ka
perbat ki waadi bhi ekdin husan ki dewi ban-baithi
rafta rafta jab nikhra aaeena in kohsaaron ka
raah-e-safar mein milnay walay ghair naheen sab apny thay
raat fareedi mahfil-e-dil mein zikr chhira phir peyaaron ka
|
|
Back to top

#3
Tanwiruddin Ahmad Phool
haal bhala keya tum ko bataaen apne peare yaaron ka
ulfat ka izhaar hai mushkil, kahna hai be-chaaron ka!
koofe ki jaanib rukh kar ke deti hai karbal yeh sada
jin ki khatir basti chhori naam na lo un peyaaron ka!
aik geya aaghosh-e-lahad mein, doosre ko aurang mila
haal ajab dekha hai ham ne dunya ke darbaaron ka
hai yeh ghalat fahmi insaan ko ghaib ki baatain kholein gay
neele falak ki voosaat mein hai abtar haal sitaaron ka
aakhiri aas lagi hai us se jo sab se taaqatwar hai
koi naheen hai is dunya meia ranj-o-alam ke maaron ka
aaj bhi yeh taareekh bataae azm-o-amal ki baat baree
himmat ki quwat ne mora rukh tufaan ke dhaaron ka
yeh tabdeel-e-deen to naheen hai, yeh to hai takmeel-edeen
ilm karo haasil aay yaaro quraan ke see paaron ka
dekhne mein achchhe lagte hain, un ki chamak de de na faraib
raakh bana daite hain pal mein, kaam hai yeh angaaron ka
khaar aur gul ki yakjaai hai kabhi bahaar aur kabhi khazaan
phool ne dekha turfa tamasha dunya ke gulzaaron ka
|
|
Back to top

#4
Sajjad Sukhan
bhool chuka hon main har rishta pholon jaisay khaaron ka
jinki khaatir bastii chori naam na lo onn pyaaron ka
hijrr ki raatain qatra qatra khoon hamara pee jaati'n
marjaatay kab k jo na hota aasra chaand sitaron ka
sehna zolm duaain daina peena aansuu or hansnaa
sab say judaa dastoor hai hamdum ishq k mansabdaaron ka
dekhtay hi pholon ko jo teri yaad aati hai sochta hon
shyed rung udaa laaye hain yah terey rukhsaron ka
oskai khutt oski tasweerain aawezaa'n hain har jaanib
main nai masruff dhond nikala hai ghar ki deewaron ka
chehra soraahi aankhain saaghur zolff ghataain jism chaman
apni zaat main woh tanhaa majmo'aa hai shehpaaron ka
kuch to bharam rahhjaata wafa ka pyar ki dushmun duniya main
jhotay munh hi pooch to laitay haal apnay beemaron ka
tumsay bichar kar jholasaatay rehtay hain jo merey tunn-munn ko
tumko kia ehsaas bhala onn ashkk-numa angaaroon ka
oski jhalak dekahin k na dekhain dil ko sokoo'n miljaata hai
oski galii main aana jaana shughal hai hum aawaron ka
choota ghar, ghar walay chootay saaray sunghii saathi chootay
kurb koi kia jaan sakayga hum hijrat k maaron ka
roz dhanak paikarr pay sajaa'ey baam pay koii aata hai
roz merii aankhon par ehsaa'n hota hai nazaaron ka
har dilkushh tasweer main teri purchaai sii lagtiii hai
jaisay sirf tera chehra ho markaz in shehpaaron ka
apni khomaar aalod aankhu say dekhlay saaqi jaam na day
ankhuu tak mehdod hai peena hum jaisay maikhaaron ka
gaye zamanay ki baatain lagtii hain kholos-o-mehr-o-wafaa
chamak damak par mar mitnaa ab shaiwaa hai dildaaron ka
taj mehal kitnay haathon ki qurbaani ka haasil hai
taj mehal k naghma garo dheyaaan aaya kabhii me'amaaron ka
shyed yonhi sukhan k saaray bigday kaam sanwarr jaatay
kaashh osay a'ezaaz ataa hojaata zolff sanwaaron ka
|
|
Back to top

#5
Wazir Hassan Wazir
chahat kaa sandesa aaya door des ke yaron kaa
unnke ser ko taj mila hai nafrat ke angaron kaa
pichle berson jab aaye to aa.nkhon me.n sawan utra
jane kesa manzer hoga abke saal baharon kaa
in donon ke chal chlan me.n ab koee tafriq nahi
ek hi jesa hal bana hai rindon ka hoshiyaron kaa
woh bhii rsta bhol gaya hai hum se bhii rehber chota
sehra me.n ab khema hoga hum donon banjaron kaa
tum apni dehleez pe rakh ker aa.nkhon ko roshan kerlo
tohfa hum ne bhej dia hai apne chand sitaron kaa
yad jab unki aati hai to aa.nkhen num ho jati he.n
jin ki khaatir basti chori naam na lo unn piyaron kaa
kalyon ko murjha dena to bade khzaan ki fitrat hai
hal wazir ab jane kia ho pholon ke rukhsaron kaa
|
|
Back to top

#6
Wali Alam Jalali
jhail rahay hain dukh yeh seenay mein paywast angaron ka
shola baro daikha hoga zarf meray kohsaron ka
dhak dhak karta rehta hay dil poorab kay pariwaron ka
halka karnay aa jata hay bojh apnay hathyaron ka
daikh daikh sundarta jag kee chanda bujh bujh jaey hay
aag kay khail may dil bujhta hay dharti kay lashkaron ka
pani sar say ooncha honay say pehlay kuch kar laina
gehra sagar kaat raha hay pal pal bund kinaron ka
rahbaron ki aabla paee rahzanon kay kaam aaee
zardaron ko khoon paseena raas aaya nadaron ka
aangan kay batwaron kay aasar say bhi dam ghut-ta hay
oot ki eentain dhay jaingee daur gia deewaron ka
janay kitnay aib nikalay aur kia kia ilzam dharay
"jin ki khatir bastee chori naam na lo un piyaron ka"
taj mehal abb aur koi tameer nahin honay dayna
shahjahan phir katwa day ga hath naey maymaron ka
aas kay aangan may phir ek shehnai see goonji ha wali
aashaoon kay mailay mein hay jhurmat chand sitaron ka
|
|
Back to top

#6
Sajid Hashmi Sajid
aisa hai dastoor nirala duniya ke gulzaron ka
youn to aksar phool chubhein hein naam hua hai kharon ka
daulat aur taqat ki may ne kuchh aisa mahaul kiya
sab hi chakkar kat rahein hein sarkari galiyaaron ka
kore kagaz per phaili hai ab jaise khoon ki laali
surkh nazar aata hai chehra rozana akhbaaron ka
kya batlaein kya samjhaein kaun samajhne wala hai
baitha hai her shakh pe ulloo daur gaya hushyaaron ka
kursi de do vote bhi de do jo mange to note bhi de do
dana pani chal jayega pushton tak bechaaron ka
khaliq per qurbaan hone ki reet jahaan me baqi hai
isme kuchh to hath raha hai mansoori kirdaaron ka
sajid aao mil ke ham tum ek dooje se pyaar karein
nasamajhon ko bhi samjhaaein matlab to tyauhaaron ka
|
|
Back to top

#8
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri
rab kehta hai mehshar ka din,din hoga angaaro.n ka
na jaane kab mout aajaaye,haq dey do haqdaaro.n ka
dekh ke laakho.n insaano.n ko,khush fehmee mei.n mat rehna
do din ke yeh saare mehmaa.n,kooch hai phir bechaaro.n ka
rishvat se tum door hi rehna,rishvat ek beemaari hai
rishvat dena rishvat lena,kaam hai yeh makkaaro.n ka
roze qiyaamat zanjeero.n mei.n,jakde jab yeh jaaye.nge
tadpe.nge tab koyee na hoga,qaum ke in ghaddaro.n ka
qaum ka paisa loot ke tumne,apni tijori bhar lee hai
banjaaye.nge aag yeh paise,khoon hai yeh laachaaro.n ka
unn logo.n ne dil ko toda,jin per hum qurbaan hue
"jinki khaatir basti chorhi,naam na lo unn pyaaro.n ka"
bhooka pet hai sona behtar,aag ki roti khaane se
haamid kaise bhool gaya tu,beta hai khuddaaro.n ka
|
|
Back to top


Previous Winners
September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|