|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiYe |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Sara Jabeen |
78 |
Shiloh, Illinois, Usa |
| 2 |
Suhel Khan Ulfat |
76 |
New Delhi, Delhi, India |
| 3 |
Ain Ul Haq Watai |
74 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 4 |
Najeeb Qasir |
72 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 5 |
Ateeq Khan Saba |
70 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 6 |
Wazir Hassan Wazir |
68 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 6 |
Syed Akhtar Hussain Surosh |
68 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 8 |
Mohammad Hidayatulla Fahmi |
66 |
Anantapur, Andhra Pradesh, India |
| 8 |
Wali Alam Jalali |
66 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 10 |
Muhammad Aslam Fareedi |
64 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 11 |
Syed Hamid Hussain Baaqri |
62 |
Bangalore, Karnataka, India |
| 11 |
Sajid Hashmi Sajid |
62 |
Rajgarh(biaora)m.p., M.p., India |
| 13 |
Bhaswar Dasgupta Munawwar |
58 |
Kolkata, West Bengal, India |
| 13 |
Mohammad Hammad Niazi |
58 |
Talagang, Punjab, Pakistan |
|
|

Previous winners

#1
Sara Jabeen
dil per laga ke chout muravvat nah keejiye
"izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiye"
kyaa jii sakenge aapke deedaar ke baghair
wada wafa ka karke baghaawat nah keejiye
dekar gulaab unki mehak ko na cheeniye
lillah! mere dil peh qasaawat nah keejiye
moti hamaari aankh ke arzaan nah houn kahin
dunyaa mein istarah ki sakhaawat nah keejiye
miljaayen qurbatein hamen, mitjaayein faasle
dil se duaayen keejiye, hasrat nah keejiye
majbooriy-e-firaq ka shikwa nahin bajaa
khud per na ho yaqeen tou muhabbat nah keejiye
afsaana-e-bahaar na honton pe laaiye
zikr-e-shabaab behr-e-inaayat nah keejiye
sara ko apne zauq-e-nazar per hei iatimaad
apnaa khayaal rakhiye, naseehat nah keejiye
|
|
Back to top

#2
Suhel Khan Ulfat
merii jo maaniye to muhabbat nah keejiye
apne sukoon-e-dil se adaavat nah keejiye
main jaantaa hun baaz na aayegaa ishq se
is naa muraad dil ko naseehat na keejiye
rusvaa kahiin na kar de zamaanaa ye aapko
is darja mujh ghariib se ulfat nah keejiye
dil men tha aapke jo aakhon nah kah diyaa
"izhaare iltifaat kee zehmat nah keejiye"
maasoomon, bebason va ghariibon ki laashon par
taameer apne ghar ki imaarat na keejiye
ban jaate hain kabhii kabhii mahlon men makbare
daulat hii sirf dekh ke nisbat nah keejiye
dukh jaaye dil kisii kaa hasiin aapkiii bane
aise kabhii kisii se zaraafat na keejiye
jo ho gayaa khataa to mire dil ki kyaa khataa
phir teer chhoriye ke shikaayat nah keejiye
mar jaaye nah khushii se voh qadmon par aapke
'ulfat' par aaj itni i'naayat nah keejiye
|
|
Back to top

#3
Ain Ul Haq Watai
raheay kaheen kisi say shararat na keejeay
koi amal khilaf-e-shariyat na keejeay
mazhab ka naam lay kay siasat na keejeay
jab haq kee baat aaey to hujjat na keejeay
makr-o-riya bina-e-siadat na keejeay
himmat agar nahi to qiyadat na keejeay
dollar ki jhalaroon ko na zanjeer-e-pa karain
umr-e-azeez nazr-e-himaqat na keejeay
pee jatay hain nichoor kay khoon-e-rag-e-ghareeb
behtar yahi ha noha-e-ghurbat na keejeay
nazuk sa aik dil tha so abb dagh dagh hay
"izhar-e-iltifat kee zehmat na keejeay"
jab bastiyan tabah hon imdad bhaijeay
lakin unhi kay haq ki himayat na keejeay
paitee pay baat aaee to jailor nay yeh kaha
hoti nahin to aap mushaqqat na keejeay
kar-e-jahan daraz hay or umr mukhtasar
haan jaeay watai say ulfat na keejeay
|
|
Back to top

#4
Najeeb Qasir
hai gar che lakh wajhe fazilat nah keejiye
shauq-e-sukhan khilafe-e-wadiyat nah keejiye
apni riwayaton se baghawat nah keejiye
saoda usool par kisi qeemat nah keejiye
maqdoor ho to rah se hat jaiye magar
zalim ki behr tor eanat nah keejiye
chalna ghalat nahin hae kissi rahnuma ke saath
be-parkhey aitbar-e-qiadat nah keejiye
go tajrubat-e-ishq buhut khoob to nahin
yeh kis ne keh diya ke mohabbat nah keejiye
achche nahin mizaj-e-girami huzoor ke
?izhar-e-iltefat ki zehmat nah keejiye?
roothe huon ko ja ke manana pare agar
apni ana ko hael-e-ulfat nah keejiye
behter yehi hae apni khata maan lijye
kiyon kar huee hae is ki wazahat nah keejiye
izhar-e-ishq koi buri baat to nahi
qasir zaban se sharhe mohabbat nah keejiye
|
|
Back to top

#5
Ateeq Khan Saba
kitna hi dard-o-ghum ho shikyet na kiijiye
warna , huzoor, aap mohabbat na kiiliye
such bolne ki gar nahin himmat to na sahi
par jhoot ki to aap himayet na kiijiye
sajde mein sirf sar hi jhuke dil na jhuk sake
bekar hai , phir aisi ibaadat na kiijiye
khud uth ke aap kiijiye roshan koi chiragh
yun baithe baithe shikwa-e zulmat ni kiijiye
logon mein pyar baatna mumkin nahin agar
to kum se kum kisi se adaawat na kiijiye
ho kar juda muhaal ho ieena hi aap ka
itni bhi ab kisi se mohabbat na kiijiye
sood-o-zian ki fikr hai is mein bhi aapko
ab ishq to ba - tarz -e- tijarat na kiijiye
|
|
Back to top

#6
Wazir Hassan Wazir
nowe'e busher se aap yon nafrat nah keejiye
tari kisi ke seher pe zolmat nah keejiye
a'qal-o-sha'ur-o-fiker nahi aagahi nahi
phir karawan ki aap qayadat nah keejiey
jis ka ke karobar ho fira'un ki tarha
ayse kisi khuda ki ibadat nah keejiay
nikli jo mo.n se bat to jaey gi door tak
apni aya.n kisi pe haqeqat nah keejiye
ja ker jahan se lot ke aana mahal ho
tay aysee manzilon ki musafat nah keejiye
ujrat jo de rehe he.n to bharpoor deejeay
hergiz kisi ki raega.n mehnat nah keejiye
un se ta'loqaat na had se barhaiye
who bewafa he.n un se muhabat nah keejiye
tarz-e-'amal ne aap ka sab kuch bata dia
izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiye
danish waran-e-waqt ne mujh se kaha wazir
apne mafaad me.n koi khidmat na kejeay
|
|
Back to top

#6
Syed Akhtar Hussain Surosh
badnamion key deep na jal ney lagein huzoor
hum sey ta al luqat ki shohrat nah keeiye
woh khood to khailtey hain meray dil sey raat din
aur mujh ko yeh qasam keh shararat nah keejiye
hum ko firaq -e-yaar ki aadat see ho gayei
ab aap iltefaat kee zehmat nah keejiye
ho ney laga hay khood peh hamein aur hee gumaan
allah iss qadar bhi mohabbat nah keejiye
|
|
Back to top

#8
Mohammad Hidayatulla Fahmi
dil ke muaamilaat men ijlath na keejiye
ijlath men lab kushaayee ki jur'ath na keejiye
mehsoos keejiyega meray dil ki dhad'kanen
dil thodne ki koyee sharaarath na keejiye
phoole nahin samaayega dil doob jaayega
aashiq ki be-naqaab iyaadath na keejiye
di jal ke khaak hone laga kam se kam sanam
ghairon ki mere aage himaayath na keejiye
raaz-o-niyaaz ke abhi aayenge marhaley
yun ek hi nazar pe qinaa'ath na keejiye
parvaane hon fareftha is shem-e-husn par
faanoos ban ke is ki hifaazath na keejiye
chaaho tho jaan kya rakhun eeman bhi daau par
"izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiye"
"fahmi" ke naam keejiye ap'ne thamaam gham
ghairon ko yeh inaam inaayath na keejiye
|
|
Back to top

#8
Wali Alam Jalali
dil khoon nisar rang-o-malahat na keejeay
lala rukhoon say aap mahabbat na keejeay
ham say hi kad ham hee say lagawat ghazab nahin
barpa abb iss tarha to qiyamat na keejeay
ham hain qateel-e-naz hamain ahtiaj kia
"izhar-e-iltifat kee zehmat na keejeay"
tar-e-nafas tasawwur-e-jana say ha bandha
piari agar hay jaan to ghaflat na keejeay
shikwa kisi say ho to rafa keejeay zaroor
shikwa kisi say bhi kisi soorat na keejeay
nafrat barhay gi had say to aanay lagay ga piyar
aata nahin hay piyar to nafrat na keejeay
ilzam-e-zoq-e-deed bhi hay aetiraf-e-deed
ham par hi aik nazr-e-inayat na keejeay
insaf ka nishan tarazoo ha aankh main
sach baat keh raha hoon samaat na keejeay
mawwaj khoon-e-dil say wali ju-e-chashm hay
batain sar-e-hussain ki babat na keejeay
|
|
Back to top

#10
Muhammad Aslam Fareedi
hangama-e-hayat say nafrat ma kijiay
yoon zindagi say tarkay muhabbat na kijiay
bar-e-karam uthy hoy phir rahy hain kiyoon
dil ko kabhi bhi rukash-e-minnat na kijiay
wajahy sakoon-e-jam ho jab us zulf ka khyal
sahra main rah kay apni koi chhat na kijiay
wo shakhshjo kholoos ka paiker dikhai day
aisay sharikay-gham ki shikayet na kijiay
wahdaniat ki rat jo laga ta ho raat din
aisay ksi khuda ki ebaadat na kijiay
keya janiay kahan patheharta hai qaafla
rahro ko yoon hawala-e-zulmat na kijiay
kuchh zakhm phool ki terhan khilty hain rozo-shab
un zakhmon say mazaq-e-latafat na kijiay
dil ko tatoliay ke hili thi zameen keyon
allah kay ghazab ki shikayet na kijiay
herfay-sukhuan atiya-e-perwerdigaar hai
tazheek-e-shaairi ki jasarat na kijiay
wo to fareedi laeqay rahber nahi raha
us rahnuma ko qabilay-e-khidmat na kijiay
|
|
Back to top

#11
Syed Hamid Hussain Baaqri
bhaai ghareeb shakhs se nafrat nah keejiye
kamzarf aadmi se mohabbat nah keejiye
bachna agar hai aapko sh^olo.n se naar ke
haa.n rahm khud pe khaaiye gheebat nah keejiye
gheebat ka karna sunna yeh dono.n haraam hai.n
hai.n aag aisee mehfile.n shirkat nah keejiye
buzdil hi waar karte hai.n peeche se dosto
aisay munaafiqeen ki ^ezzat nah keejiye
ruswa nah keejiye keh hai insaan mohtaram
murdo.n ka gosht khaane ki hujjat nah keejiye
haamid ko ^ilm aapki khaslat ka hai janaab
"izhaare iltefaat ki zahmat nah keejiye"
|
|
Back to top

#11
Sajid Hashmi Sajid
tark-e-taaluqat ki soorat na keejiye
is daur me huzoor mohabbat na keejiye
insaaniyat ka naam hi deen-e-mubben hai
mazhab pe janab siyasat na keejiye
ho huqmaraan to bhookh ko pahle dafa karo
roti na de sako to huqoomat na keejiye
dil saf ho ager to yahaan aaiye zaroor
keena hoger to aane ki zehmat na keejiye
ehl-e-khuloos ko to saron per bithaiye
lekin kabhi rakeek ki izzat na keejiye
hai honsla to qaum ki izzat barhaaiye
warna kabhi dikhawe ki himmat na keejiye
shehr-e-sukhan me zor-e-qalam keejiye mager
sajid khayal-kham pe mehnat na keejiye
|
|
Back to top

#13
Bhaswar Dasgupta Munawwar
ashkon ko apnii aankh se rukhsat na keejiye
zaaya yun hii karoro ki daulat na keejiye
mat roiye, yoon tauhiin-e-ghurbat na keejiye
zaaya yun hii karoro ki daulat na keejiye
sarkaar aap se yeh guzaarish rafeeq kii
maazee ko apney aaj ki aadat na keejiye
muskaan ke janaab kii aashiq hazaar hain
unkii hi soch kar gham-e-furqat na keejiye
shabnam ko chaahiye ke judaa ho gulon se ab
sooraj nikal chukaa hai to ghaflat na keejiye
maanaa ke main nahiin tere gham mein shareek ab
lekin yeh kyaa ke mujh pe inaayat na keejiye
bhoolen hen aap kyon ke "munawwar" ki chaah kyaa
woh mar gayaa to kyaa abhi izzat na keejiye?
|
|
Back to top

#13
Mohammad Hammad Niazi
yoon darde ladawa se baghawat na keejiye
ruswaa dile bahar ki cahat na keejiye
dooba hoa hay raqs mein sara jahane naz
jalwa dikha kay jag mein qiamat na keejiye
kho jaonga tasaware manosiaat mein ab
itni bhi aap muj se morawat na keejiye
hum jante hein kitni mohabbat hay aap ko
"izhare iltifaat ki zehmat na keejiye"
jazboon ki tishnagi ki waja muj ko kia pata
haan waqt ki kamazkam shikayat na keejiye
mein jangaloon mein zeast ki phirta raha hammad
har shakh keh rahi thi mohabbat na keejiye
|
|
Back to top


Previous Winners
November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|