|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: koyee pursaaN nah huwaa ham se gunahgaaroN kaa |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Zeeshan Akhter Alvi Zeeshan |
76 |
Rawalpindi, Punjab, Pakistan |
| 2 |
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri |
74 |
Bangalore, Karnataka, India |
| 2 |
Bhaswar Dasgupta Munawwar |
74 |
Kolkata, West Bengal, India |
| 4 |
Yasir Farooq Yasir |
66 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 5 |
Wazir Hassan Wazir |
64 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 6 |
Muhammad Aslam Fareedi |
60 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 7 |
Jamal Abdul Nasir Jamal |
50 |
Faisalabad, Punjab, Pakistan |
| 8 |
Ali Haider Asar |
46 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
|
|

Previous winners

#1
Zeeshan Akhter Alvi Zeeshan
jab sitam had se guzar jaye sitam gaaron ka
chaara-gar koi nikal aata hai be-chaaron ka
woh jo hota tha kabhi shaahon ke darbaaron ka
hai wohi haal mere dor ke akhbaaron ka
koi aflaas se be-sudh, koi faaqon se nidhaal
she'hr kya khaak hai, ik majma' hai beemaaron ka
aadmi ab bhi magar seena-sipar hai dekho
zalzaley tor gaye hosla kohsaaron ka
hum ko bhaata nahin is khokhli rif'at ka gharoor
girna dekha hai khuli aankh se meenaaron ka
sir-ta-paa kaanp gaya mere takhay'ul ka badan
aisey takrao hua soch ki talvaaron ka
tum ne sad'aam ki haalat nahin dekhi logo
haal hota hai yehi qaom ke ghad'aaron ka
yoon hi yaksaani-e-naz'aara ka tootey ga tilism
aaina tor do ab zaat ke naz'aaron ka
be-wafa hum ko na kehta yeh zamana zeeshan
saath deta jo koi hum se wafa-daaron ka
|
|
Back to top

#2
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri
haami hota hai khuda haq ke parastaaro.n ka
haal behaal hai baatil ke tarafdaaro.n ka
aksariyyat hai siyaasat mei.n daghaabaazo.n ki
haq ada yeh nah kare.nge kabhie haqdaaro.n ka
nah daro cheen lo haq apna har ek ghaasib se
inquilaabi bano mu'nh todh do ghaddaro.n ka
jo munaafiq hai.n qiyaamat mei.n yahi bolay.nge
"koyee pursaa.n nah hua hum se gunahgaaro.n ka"
zulm se ladna hai jab tumko jahaa.n mei.n haamid
khauf kyu.n khaate ho duniya ke sitamgaaro.n ka
|
|
Back to top

#2
Bhaswar Dasgupta Munawwar
dil wo parwarda-e-mamnoon hai jafaa kaaron kaa
jo ba har zakhm, namak khaaye hai sarkaaron kaa
shamme' par jaan nicaar apni nah karte kaise?
jalna dastoor hai aatish ke parastaaron kaa
mai kashee waqt-e-bahaaraan jo karen, to itnee,
rang pheekaa nah khizaan men bhi ho rukhsaaron kaa!
yeh na hoteen to samandar bhi bayaabaan hotaa
mujh pe ehsaan hai gham khaane ki deewaaron kaa
hai kaf-e-dast yeh apnaa ke bisaat-e-shatranj!
bakht kee chaal ne kyaa haal kiyaa taaron kaa!
hai mire ashk, mira dil, mire hee gham, to phir
kaise kucch haq bane in par mire ghamkhwaaron kaa
ab munawwar ki khabar ham se nah poochho yaaron
"koee pursaan na huaa ham se gunahgaaron kaa"
|
|
Back to top

#4
Yasir Farooq Yasir
ye nigahbaan falak sainkroon nazzaaroon ka
kaam karta hai mere waaste geh'waaroon ka
aao dunya k jahannum men zara jal dekhain
hamen andaaza to ho hashr k an'gaaroon ka
kiya nahi shehr men maujood khuda-e-ulfat
kiyoun koi rukh kare sehraaoon ka koh'saaroon ka
kiya bataate jo bataate so ye achchaa hi howa
"koi pursaan na howa hum se gunah'gaaroon ka"
ab ghareeboon ko bhi shikwa,hai muhabbat kamyaab
rasta apnaa liya muflis ne bhi zer'daaroon ka
koi chupke se pukaare to bhi sun letaa hai
qadr'daan aisa koi laae talab'garoon ka
naee tehzeeb ki jaari hai harappa-kari
bhais kuch loogoon ne badlaa hai razaa'kaaroon ka
|
|
Back to top

#5
Wazir Hassan Wazir
tazkara kon kare misir ke bazaron kaa
koi mela nahi yousuf ke kharidaron kaa
koi zindan me.n gaya hai koi maslob hua
hal hota hai ya ulfat ke talabgaron kaa
dil machal jata hai aankhon me.n mani aati hai
jab khayal aata hai bichre hue dil daroon kaa
ja baja pheeli nazer aai lahu ki surkhi
eek hi rang hai sab kagazi akhbaron kaa
aag lagti hai to daman se hawa dete he.n
ya karishma hai mere hashya bardaaron kaa
koi sachaai ko tasleem nahi kerta hai
jhoot ka door zamana hai siakaaron kaa
sare perdes gay pias bujhaane kelye
seher veraan huwaa des ke mekhaaron
katte rehte he.n nakerda gunaahon ki saza
koyee pursaan na huwaa hum se gunahgaaron kaa
jab wazir aati hai qurbat me.n judai ki ghari
rang urta hai chamakte hue rukhsaaron kaa
|
|
Back to top

#6
Muhammad Aslam Fareedi
mujhko khanjer ka koe khauf na talwaron ka
keyonkey qabza hai merey pa dildaaron ka
khamshi kaisi hai aur kaisa khezan kamausam!
chehra weeran to lagat nahi ashjaaron ka
waqt badla hai to phir khud ko badaldey werna!
keya baneyga terey qad ka, teri dastaaron ka
mauj-e-dariya isay lejaye jahan jee chahey
tooti kashti sey ta-alluq naheen patwaron ka
ishq ney dasht nawardi sey bhi tauba kerli
ab kaheen nam naheen reit ki deewaaron ka
wo teri chashmey fasoon saaz mein gum ho jaaey
dekhley hausla jo bhi terey beemaaron ka
aisi menhgaayee sey allah bachaaey sab ko
jaib ney chor diyaa sath khareedaron ka
meray koochey mein jo roshan hain muhabbat key cheraagh
naam dena na khudara inhein baazaaron ka
aiy fareedi teri kisterha ki gumnaami hai!
aaj bhi zika hai baaqi teray asha-aaron ka
|
|
Back to top

#7
Jamal Abdul Nasir Jamal
teri nigah men paigham hay baharon kaa
teri hansee men tarannum hay aabsharon kaa
gunah yeh tha keh bantee masarratain ham nay
?koyee pursaan nah huwaa ham se gunahgaaron kaa?
kisi ki aankh men aansoo kisi ke lab pe hansee
ajeeb khel hay taqdeer ke ishaaron kaa
yeh khaarzaar hain taqdeer ka likhaa lekin
khayaal chor doon main kaisay marghzaron kaa
yahan nah yousuf-e-kin?an nah husn he arzan
guman nah kar tu yahan misar ke bazaron kaa
gila main kis se karon zindagi ke lutnay kaa
meri tabahi men hissa hay merey yaron kaa
main roshni ke ta?aqub men door aa nikla
magar na khatm huwaa rasta andhiyaron kaa
?jamal? thak gaya hay aik shab ki manzil say
bahot kara hay safar aasman ke taaron kaa
|
|
Back to top

#8
Ali Haider Asar
aansoo tasveer-e-jaan,gul aaina baharon ka
shor basti ke naved,hoo khasa he mazaron ka
bhoolne usko nahin deti meri tanhaii
mujh pe ye khaas karam he ye mere yaroon ka
mout bhe meri ayaadat ko nahin aati hey
"koi pursaan na huwaa hum se gunahgaron ka"
gher mera jal to gaya,kuch na bacha per afsos!
daamun apna bhe jala aap tabahkaron ka
roshni badli to saaye ne bhe qibla badla
ek ajab qeh't he dunya mein wafadaron ka
mou'jazey radd kiye,go chand bhe do lakht kiya
sarr kham-e-haqq kiya jab saaya tha talwaron ka
jab se wo dour gaya mehfilein bhe rooth gaeen
sheher ke logon mein kya tazkira mazaroon ka?
hum ko peene do ke ab hosh ka kya kerna he?
hey ilaaj ek yehee ishq ke beemaron ka
ghalib o meer ke asnaad se kisko inkaar!!!!
as'r* charcha he magar apne bhe ash'aaron ka
|
|
Back to top


Previous Winners
March/April 2006January/February 2006November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|