|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: magar sab bazm-e-rindaaN meN tumhaaraa naam lete haiN |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
84 |
Albany, New York, U.s.a. |
| 2 |
Zeeshan Akhter Alvi Zeeshan, Zeeshan |
82 |
Rawalpindi, Punjab, Pakistan |
| 3 |
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri |
80 |
Bangalore, Karnataka, India |
| 4 |
Zafar Sayeed Zafar |
78 |
Allahabad, Uttar Pradesh, India |
| 4 |
Ateeq Khan Saba |
78 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 4 |
Zafar Jalil Salfi Jalil |
78 |
Shahjahanpur, U.p., India |
| 4 |
Waquif Ansari Waquif Ansari |
78 |
Allahabad, Uttar Pradesh, India |
| 8 |
Yasir Farooq Yasir |
74 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 9 |
Syed Kashif Asri |
72 |
Hoffman Estates, Il, Usa |
| 10 |
Dr. Naim Sahil |
70 |
Allahabad, Uttar Pradesh, India |
| 10 |
Imtiazulmulk Sultani Aasi Sultani |
70 |
North Karachi,karachi, Sindh, Pakistan |
| 12 |
Syed Abu Turab Turab |
68 |
Sharjah, Sharjah, United Arab Emirates |
| 12 |
Mohammad Hidayatulla Fahmi |
68 |
Anantapur, Andhra Pradesh, India |
| 14 |
Wazir Hassan Wazir |
66 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 14 |
Gulrez Ali Khan Gulrez |
66 |
Allahabad, U.p, India |
| 16 |
Aneela Mahmood Qarar Jafree |
50 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
|
|

Previous winners

#1
Tanwiruddin Ahmad Phool
mahabbat mein bara rutba woh khush anjaam lete hain
bacha kar yaar ko jo apne sar ilzaam lete hain
kaha ham ne,naheen is mein hai koi dosh us but ka
magar sab bazm-e-rindaan mein tumhara naam lete hain
ham apne roz-o-shab khud hi banaate hain zamaane mein
tira ihsaan kab aie gardish-e-ayyaam lete hain
hamain to rashk aata hai bahut un khush-naseebon par
elawa aam ke jo guthliyon ke daam lete hain
khala ke is samundar mein qamar,khursheed,sayyare
yeh rahte bas safar mein hain,kahaan aaraam lete hain
nazar aaye jahaan mein hain hamain suqraat ke pairo
adu se muskura kar jo ajal ka jaam lete hain
taghaaful ham se karte hain,labon par uzr-e-naadaani
hamaare yaar aksar maslehat se kaam lete hain
sadaqat ko chhupaate hain,khushaamad kaam hai jin ka
ameer-e-shahr se woh loag hi inaam lete hain
yeh maanaa phool mukhlis ho magar kahte hain kuchh hamdam
"gulon se khaar behtar hain jo daaman thaam lete hain"
|
|
Back to top

#2
Zeeshan Akhter Alvi Zeeshan, Zeeshan
labo.n ko see ke mushkil mei.n jo us ka naam letey hei.n
khuda ki rehmato.n ke haath un ko thaam laitey hei.n
kisi ke kaam aatey hei.n kisi se kaam laitey hei.n
yoon insaa.n aik doojey ki madad her gaam letety hei.n
bisaat-e-hashr yeh kis ne ulat di chand lamho.n mei.n
k woh meri khata ka apney sir ilzaam letey hei.n
jo peena jaantey hei.n min'at-e-saaqi nahi.n kartey
jinhei.n peena nahi.n aata woh us se jaam letey hei.n
yeh aakhir koan hai jis ka karam sab pe barabar hai
yeh kis mushkil-kusha ka naam khaas-o-aam letey hei.n
jo dil ki raah chuntey hei.n faqat khushio.n ki hasrat mei.n
woh raahi ibtida mei.n hi gham-e-anjaam letey hei.n
wafa meri nahi.n ghat'ti, talab un ki nahi.n mit'ti
mai.n sub'h-o-shaam deta hoo.n woh sub'h-o-shaam letey hei.n
na-jaaney kab ka tu apney hi haatho.n mit gaya hota
balaayei.n teri hum ae charkh-e-neelifaam letey hei.n
lagey rehtey hei.n jo zeesha.n sada khalqat ki khidmat mei.n
hum aisey un se hi to fusat-e-aaraam letey hei.n
|
|
Back to top

#3
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri
dua hathyaaray momin hai dua say kaam letay hai.n
shifa zikray khuda mei.n hai khuda ka naam letay hai.n.
jahaa.n mei.n hum qina'at say hamaysha kaam letay hai.n
khuda ka shukr kartay hai.n khuda ka naam letay hai.n
woh buzdil hai.n jau dartay hai.n yahaa.n hardam balaao.n say
bahaadur sabr ka aisay mei.n daaman thaam letay hai.n
jau momin hai.n woh chaltay hai.n mohammed(s.a.w.)ki shariat per
munaafiq naamay paighamber(s.a.w) baraaye naam letay hai.n
faraybee taajiro.n ki dausto yeh bhi nishaani hai
woh acchay maal kau bhi kaudiyo.n kay daam letay hai.n
baday chaalaak hai.n dekho hamaaray daur kay taajir
khuda ka naam lekar bhi dagha say kaam letay hai.n
yaqee.n humko hai haamid tum kabhie ma'ye pee nahi.n saktay
magar sab bazmay rindaa.n mei.n tumhaara naam letay hai.n
|
|
Back to top

#4
Zafar Sayeed Zafar
jo rahe zindagi mein haq ka daman thaam lete hain
wahi khaliq se apni zeest ka inaam lete hain
chukao uski qeemat kaam jaisa chahte ho lo
ye rehbar aaj-kal k rahbari ka daam lete hain
go kaam aata hai ghairon-k buland ekhlaq wala hai
to baad-az-marg loag uska adab-se naam lete hain
wo rahe haq pe chalte hain bhale pechida hon rahen
jo quraa'n our hadison se faqat aalaam lete hain
bhale saaqi ne gumnami mein tumko daal rakkha ho
magar sab bazm-e-rindaan mein tumahara naam lete hain
jahaan maqtool ki mitti ko dafnane ke lale hain
whain qatil jo hain inaam aur ikraam lete hain
jo chauda sao baras pahle arab main phoot kar nikla
usi chashme se har ek faiz khaaso aam lete hain
khuda ke wo pasandida bahot hote hain bande sab
jo ahmad ki mohabbat ka hamesha jaam lete hain
wo seena cheer kar tofan ka kashti paar hain karte
"zafar" jo azm-o-himmat se bhanwar mein kaam lete hain.
|
|
Back to top

#4
Ateeq Khan Saba
kabhi maikhane jakar hum jo koi jaam lete hain
to ghabrakar gham-e-dauraan kaleja thaam lete hain.
mohabbat mein faqat aankhon se hi hum kaam lete hain
kabhi paighaam dete hain , kabhi paighaam lete hain.
khushamad, chaaploosi mein maharat jinko hasil hai
wohi aizaaz pate hain , wohi inaam lete hain
gawarah kaise ho sakti hai humko unki ruswaayee
khata karte hain woh , hum apne sar ilzaam lete hain
khuda jaane moharrik kaun hai tark-e-mohabbat ka
main unka naam leta hoon, woh mera naam lete hai
naya ilzaam phir koi mere sar lagne wala hai
laraz jaata hoon main jab dost mera naam lete hain
wafon ka sila yun chahte hain log duniya mein
ki taajir jis tarah se maal dekar daam lete hain
tamanna bhi hai manzil par "saba" jaldi pahunchne ki
magar araam bhi ruk ruk ke woh har gaam lete hain
|
|
Back to top

#4
Zafar Jalil Salfi Jalil
samajh se, hoshmandi se yahan jo kaam lete hain
woh is duniya mein dilchaspi baraye naam lete hain
qadam yeh ladkhadayen hoke kuch mayus, is se qabl
mujhe badhkar mere pukhta iraade thaam lete hain
amal karte nahin, ungli uthaate hain zamane par
bhatakte khud hain, naam-e-gardish-e-aiyaam lete hain
zamin par chand ki surat chamakte hain wohi, loha
andheron tum se jo misle chiragh-e-shaam lete hain
tamanna hai jafaon par pasheman hon na woh apni
wafaon ka kahin ahl - e - wafa innam lete hain
achanak yaad unhen kyun aa gaya tu, dekhna yeh hai
woh ab kya kaam tujh se ae dil - e - nakaam lete hain
khirad ki rahbari karne pe qadir hai junun mera
woh honge aur jo hathon mein paththar thaam lete hain
jo hon ashaar wazeh, theek hai lekin "jalil " aksar
unhen hum karke mubham lazzat-e-ibhaam lete hain
|
|
Back to top

#4
Waquif Ansari Waquif Ansari
sare maikhana jo tishna labi se kaam lete hain
adab ke saath ahle zarf unkaa naam lete hain
makaan se laamakaan tak hai unheen ke ishq ka charcha
malaik hain ke jinka naam subh-o-shaam lete hain
koi shikwa kare bhi kyun hamaari faaqa masti ka
qalandar hain nizaam-e-ishq se har kaam lete hain
unheen ke paaon par mar mitti hain shaazish ki zanjeerein
jo aage badh ke aazaadi ka parcham thaam lete hain
hamaari aabla payee raqam hai dasht-o-sahra par
hamaara naam to sab sarmad-o-gulfaam lete hain
hum aise barg-e-gul hain pattharon ko kaat sakte hain
hamaara taur wo lekin bataur auhaam lete hain
jo raahe zulm main parwarda-e-murda zameeri hai
yazeed-e-ahde haazir se wahi in.aam lete hain
unhein to aish-o-ishrat se kabhi fursat nahin milti
awamulnaas ki sudh budh kahan hukkaam lete hain
faza qaayam ho amn-o-aasti ka is liye az khud
hum apne sar har ik tohmat har ik ilzaam lete hain
ye zaahir hone waala hai muzaffar kaun hai "waquif"
modabbir sab naqeeb-e-waqt se paighaam lete hain
|
|
Back to top

#8
Yasir Farooq Yasir
thakan jab berhne lagti hai to kuch aaraam lete hain
safar main teri yadoon k chahlak'te jaam lete hain
ye apni kam-naseebi hai k kotahi nigahoon ki
jahan subhain bhi milti hain wahan se shaam lete hain
sada-e-dilnasheen sun ker sama?at jaag uthti hai
tere qur?an k qaari diloon ko thaam lete hain
bahek jaate hain ger insaan to aansoo behne lagtey hain
mager beh?kaane wale tauba ka kab naam lete hain
khuda ko yaad kerne ka takalluf koun kerta hai
gunah k waqt hum aasi gunah ka naam lete hain
ager shaamil na hoon jazbaat aansoo hain faqat paani
wagerna motiyoun ko kab yahan bay-daam lete hain
aziyyat gahoon ka sardaar, ye hai guantanamo
yahan rug rug sitam ker k khushi k jaam lete hain
barahna kerna maqsad tha nikalwana tha jannat se
so shetaan be-libaasi se abhi tak kaam lete hain
siyasat main talash-e-wahdat-e-maani hai laa-haasil
jo oujhal rehta hai nazroon se wo peghaam lete hain
ghazal-dunaya main aa jaate hain dil ki baat kehne ko
ye mat samjho k hum hissa bara-e-naam lete hain
|
|
Back to top

#9
Syed Kashif Asri
tumharay zikr say baysakhion kaa kaam lete hain
yeh dil jab larkhaarata hai tuu isskoo thaam lete hain
wafa kar kay bhee hum nay kuch nahi manag kabhi un say
who apni baywafai kay bhee hum sya daam lete hain
gaawara hee nahi kartay who mujh say baat karna per
sar-e-mehfil meray hatoon say barh kay jam lete hain
hum ashiq hain humaya terkay mai bas ahain hee milti hain
adayen joo bhee hoti hain who sab gulfam lete hain
tera ashiq hoon per koi mukhatib hee nahi karta
magar sab bazm-e-rindaan men tumhaaraa naam lete hain
teri chahat kisay mil payee hai yadain hee kafi hain
yehi hum koo buhat hai hum yehi eenam lete hain
|
|
Back to top

#10
Dr. Naim Sahil
hamare mulk men dahqaan jab bhi vaam lete hain,
muqaddar men vo apne gardish-e-ayyaam lete hain.
ye duniyan unko diwana samajhti hai haqiqat men,
muhabbat ka jo apne sar har ek ilzaam lete hain.
mahaaze-e-jung se dushman ki faujen bhaag jaati hain,
iradon men jab apne hum bhi istehkaam lete hain.
hamari be-niyazi par zamana fakhr karta hai,
hum apne kaam ke badle men kab inaam lete hain.
palat jaati hai jab kashti talatum khez maujon se,
samundar men hum apne bazuon se kaam lete hain.
har ik jaanib se aati hai sada allah-o-akbar ki,
mujahid haath men jab parcham-e-islam lete hain.
haqiqat dekh lete hain vo maazi ke darichon se,
ghazal men jab kabhi vo shorish-e-hangaam lete hain.
tumhare chaand se chehre pe noor-e-paarsai hai,
magar sab bazm-e-rindan men tumhara naam lete hain.
hamari sar-balandi unko raas aati nahin ?sahil?
hamara naam aksar hasid-o-nammaam lete hain.
|
|
Back to top

#10
Imtiazulmulk Sultani Aasi Sultani
ajab deewaanapan hai,ab to tasht az baam lete hain
tumhara naam aiesa hai ke subh-o-shaam lete hain
kisi ne dil churaya hai mira so maikade punhcha
magar sab bazm-e-rindaan mein tumhara naam lete hain
nashey mein doob jaate hain hamaisha daikh kar un ko
ham un ke haath se peene ko jab bhi jaam lete hain
bari maasoomiyat pinhaan hai chaalaaki mein bachchon ki
yeh apna kaam karne ka bhi kuchh in'aam lete hain
nashaib-e-waqt mein paiham buzurgon ko hamaare haan
jo un ke dast-o-baazoo hain woh barh kar thaam lete hain
jinhain ghussa bahut aata hai un se door hai dunya
khirad wale muhabbat se hamaisha kaam lete hain
usi ne khwaab mein aa kar sada neendain ujaari hain
ham apne sar hamaisha yeh haseen ilzaam lete hain
duaaein bai-asar is waaste hoti hain ab aasi
bahut se paishwa is kaam ke bhi daam lete hain
|
|
Back to top

#12
Syed Abu Turab Turab
dum e rahat jo daaman sarkashi ka thaam leten hain
wohi phir gardish e dauran mein rab ka naam leten hain
agar haqgoee hai ek jurm duniya ki nigahon mein
to hum apni khushi se apne sar ilzam leten hain
dayar e zulm mein jeena ganwara hi nahin hota
sukoon ki saans ahl e haq ta'e samsaam leten hain
yeh hai maikhana e qudrat kami is mein nahin, lekin
ba qadr e zarfiat maikhar apna jaam leten hain
karen kya lutf hi kuch aisa us ke tazkere mein hai
ke jab se bolna seekha usi ka naam leten hain
suni thi sirf dil ki, thokrein khai zamane ki
to ab humrah dil ke aql se hum kaam leten hain
zameen e shaer mein fasl e ghazal ke gul khile aise
ke log ab naam mera bhi sar e gulfam leten hain
mashaqqat kar ke duniya se jo ponhche bazm e mehshar mein
kaha ab meer e mehfil se chalo in'aam leten hain
|
|
Back to top

#12
Mohammad Hidayatulla Fahmi
woh dhaane qah'r jab angdaayiyon se kaam lethe hain
tho ham dasth-e-dua se saara aalam thaam lethe hain
siyaahee kab rubaayee ke liye qayyaam lethe hain
suraahi-daar gar'dan se ma'y-e-gulfaam lethe hain
hawaa ke gudgudaane par agar woh hans paden shab men
sithaare jhilmilaana chod kar dil thaam lethe hain
adaay-e-kaj-ravee unki hai marg-e-nagahaan laikin
maseehaayee ka zer-e-lab hansee se kaam lethe hain
iraade zindagee ki dhoop men jab toot jaathe hain
ghanee zulfon ki chaawon men zaraa aaraam lethe hain
shikastha jaam hai apnaa shikastha dil naheen saaqi
khumaar aalud aankhon se nasheela jaam lethe hain
udaasee, gham, khushee, muskaan,aansu, den qismath ki
"magar sab bazm-e-zindaan men tumhaara naam lethe hain"
banaawat dekh kar dilkash, haseen, ma'soom cheh're ki
qasam hai dah'riye bhi us khudaa ka naam lethe hain
masaaib zindagee bhar ke tho unki den hain "fahmi"
a'zal se, aadami hi apne sar, ilzaam lethe hain
|
|
Back to top

#14
Wazir Hassan Wazir
kabi to subha lete he.n kabhi shaam lete he.n
nirale dhung se us bewafa ka naam lete he.n
jinhe peene pilaane ka salika tak nahi aata
wahi naadan ab hatho.n me.n apney jaam lete he.n
brah-e-rast jinse rabta na aashnai hai
unhi logon se hum ash"ar pe in"am lete he.n
halakatkhez gulshan se nikal jane ki haarat hai
mager pholo.n ke aanso he.n jo daman thaam lete he.n
wahi to log apne waqt ke suqraat bante he.n
jo taro.n ki chamak se roshni ka kaam lete he.n
yahi farzangi me.n ab wateera humne apnaya
kare woh bewafai ser pe hum ilzaam lete he.n
kisi bhi waqt aajae.ngay baam-wo-der kula rukhna
yahi to naama ber se roz hum peghaam lete he.n
na tum saqi na mekhwaroo.n se nisbat hai tumhe koi
magar sab bazm-e-rindaa.n me.n tumhaaraa naam lete he.n
wazir ya aa hi jaey.nge khud apny daam me.n aakhir
parindo.n ko jo ya sayyaad zeer-e-daam lete he.n
|
|
Back to top

#14
Gulrez Ali Khan Gulrez
maza tashna dahani ka jo tashnakaam lete hain.
unhi k naam ki hichki hazaro'n jaam lete hain.
nazar ko maiqada kah kar labo se jaam lete hain.
ghazal men zulf-e-jana ko bajaye-laam lete hain.
bhanwar ki zad men rahkar hausala khote nahi apna,
jo mauje sar patakti hain unhi ko thaam lete hain.
hazaro'n hasraten dil ki bhala kaise kare poori,
k ham saanse bhi duniya men baraye-naam lete hain.
wo hasil karke qurbat qurb ki lazzat nahi samjha,
jo lazzat door rahkar aashiq-e-nakaam lete hain.
sahara bante rahte hain jo har lachar-o-bekas ka,
maza wo zindagi ka har nafas har gaam lete hain.
ta'assub ki hawa chalti hai jab barbaad karne ko,
zamane wale hamse amn ka paigaam lete hain.
har ek kirdaar ki takhleeq hai us shaks k dam se,
sabaq gulzaar men "gulrez" se gulfaam lete hain.
(takaddus maiqade ka yoon to hai "gulrez" se kayam,
magar sab bazm-e-rindaan men tumhaaraa naam lete hain).
|
|
Back to top

#16
Aneela Mahmood Qarar Jafree
mitanay ko teira ghum hi faqat hum jaam lete hain
magar sab bazm-e-rindaan men tumhaaraa naam lete hain
bichar jao bichara hai tumhay ye bhi ijazat hai
tumharay waastey hum apnay sar ilzaam lete hain
khuda ma'afi gunah hei ye magar aie hazrat-e-wa'ez
kabhi yun aap bhi to maslehat se kaam lete hain
ridai-e-saani-e-zehra se hai islaam ka pardah
unhy deikho magar jo majlison k daam lete hain
faqat iss naam sey wabasta jaaan-o-dil ka qaraar
wo aik naam jo hum subuh o shaam lete hain
|
|
Back to top


Previous Winners
September/October 2006July/August 2006May/June 2006March/April 2006January/February 2006November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|