|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: naSeehat kee naSeehat hai tamaashe kaa tamaashaa hai |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Yasir Farooq Yasir |
82 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 2 |
Aamir Abbas Aamir |
80 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 3 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
78 |
Albany, New York, U.s.a. |
| 3 |
Syed Abu Turab Turab |
78 |
Sharjah, Sharjah, United Arab Emirates |
| 3 |
Syed Shiraz Mahdi Zia |
78 |
Dhahran, Sharqiyyah, Saudi Arabia |
| 3 |
Ateeq Khan Saba |
78 |
Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 7 |
Mohammad Hidayatulla Fahmi |
76 |
Anantapur, Andhra Pradesh, India |
| 7 |
Wazir Hassan Wazir |
76 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 9 |
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri |
74 |
Bangalore, Karnataka, India |
| 9 |
Zafar Saeed Jeelani Zafar |
74 |
Allahabad, Uttar Pardesh, India |
| 11 |
Najeeb Reza Najeeb |
72 |
Allahabad, U.p, India |
| 12 |
Gulrez Khan Gulrez |
70 |
Allahabad, U.p, India |
| 12 |
Khalid Hafeez Khalid |
70 |
Allahabad, Uttar Pradesh, India |
| 14 |
Suneel Danish |
68 |
Allahabad, Uttar Pradesh, India |
|
|

Previous winners

#1
Yasir Farooq Yasir
udher dil ki azaanain hain , bulaawe per bulaawaa hai
idher hai khaawb ka aalam, iraade per iraadaa hai
ye sab ki aarzoo hai zindagi sersabz ho jaaey
mager khushyoun ka sauda bhi kabhi bedaam aayaa hai?
tumhaare betarah bikhre howe baaloon ka kehnaa hai
kisi ki muntashir zulfoon ko tum ne jaa sanwaaraa hai
* wo jaado ehl-e-babul ko sikhana do farishtoon kaa
naseehat ki naseehat hai tamashe ka tamashaa hai
na ho naazuk to phir kiya ho? haseen hatoon ne qudrat ke
chupaa ke dil ko seene main bare naazoon se paalaa hai
meri baatoon ka rukh wo moor dete hain saleeqe se
unhain apne dukhoon ka tazkira bhi kab gawaaraa hai
gilaa kerte nahien ghairoon se ae doost apne loogoon kaa
nazar makkaar hai un ki tera hi ghar nishaanaa hai
* bacha paey na qaum-e-loot ko akhir khalilullah
shifa’at be-asar thehri khudaa ka hukm aayaa hai
zaroorat peda kerta hai hawas ka kaarkhana hai
fun-e-tash’heer khawbeeda tamannaain jagaataa hai
isi ummeed per main de raha hoon dastakain yasir
sada qadmoon ki aane waali hai, der khulne waalaa hai
* do farishte haroot aur maroot , khuda k hukm se babul waloon ko aazmaish k taur per jadoo sikhate they. saath saath wo unhain tambeeh bhi kerte they k wo un k liye aik aazmaaish hain.
* hazrat ibrahim ne quam-e-loot ko azaab main mubtalaa na
kerne ki safarish ki jo rad ker di gae.
|
|
Back to top

#2
Aamir Abbas Aamir
ibaadat mere dil ki, ishq, tere sar ka sauda hai
mere dil ka suwaida hai, tere maathe ki bindiya hai
zara bachna, sambhalna, raasta yeh jaan-leva hai
mohabbat ke jo da'we-daar hain yeh un ka kehna hai
sar e mehfil mujhe ulfat ki raahon se daraate ho
naseehat ki naseehat hai, tamaashe ka tamaasha hai
mere zulmat-kade mein teri yaadein jashn karti hain
sarashk-aalud sham'a ka jo haasil hai, ujaala hai
sataayish teri subh o shaam rehti hai mere lab par
koyi to baat hai jo dil teri yaadon mein khoya hai
woh kehte hain keh mera haath dil se kyun nahin hatta
mere haathon ki rekhaaon peh tera naam likha hai
kahaan maqdoor aamir is sukhan ko keh sakun apna
haqeeqat mein yeh amr e kun tere lab ka ishaara hai
|
|
Back to top

#3
Tanwiruddin Ahmad Phool
woh gaisu kaale baadal hain,woh chehraa chaand jaisaa hai
woh paikar dilrubaa hai,keyaa haseen us kaa saraapaa hai!
nikalnaa khuld se aadam ka laghzish ke nateeje mein
naseehat ki naseehat hai tamaashe kaa tamaashaa hai
kahaan se aaye dunyaa mein? kahaan jaanaa hai phir ham ko?
na ham khud ko samajh paaye,ajab qissaa hamaaraa hai
takabbur tum na karnaa,baat koi mat bari kahnaa
takabbur ne hi shaitaan ko bari pasti mein phainkaa hai
haqeeqat hai baraa maasoom hotaa hai har ik bachchaa
samajh lo tum buri suhbat se hi insaan bhataktaa hai
naheen ho naakhudaa jin kaa to hotaa hai khudaa un kaa
sahaare se jo hon mahroom woh un kaa sahaaraa hai
woh ham ko bai-wafaa samjhaa,ham us ko bai-wafaa samjhe
zamaane se anokhaa apni ulfat ka fasaanaa hai
mahabbat hi mahabbat ho,jahaan se door nafrat ho
mahabbat jo kare sab se, wohi insaan achchhaa hai
tri nazmon,tre ashaar kaa aie phool majmooaa
yeh hai maamoor ulfat se,mahabbat kaa saheefaa hai
|
|
Back to top

#3
Syed Abu Turab Turab
bhanwar ka khauf hai mujhko na toofanon ka dhadka hai
yaqeen allah par hai aur dua ka bhi saleeqa hai
jo itna janta hai kya mohabbat ka taqaza hai
woh apna haq jatae bin faraiz poore karta hai
bhala firauniat ka zeher peene waale kya jaane
sharaab-e-bandagi-e-rabb-e-akbar ka maza kya hai
na jaane kya hua allah o akbar kehne walon ko
ke ek shaitaan ki dhamki se unka dil larazta hai
musalsal maujiza hai karbala ka aek ek pehloo
koi jee kar bhi murda tha koi mar kar bhi zinda hai
na bhatko falsafon ke jungalon mein kuch nahin haasil
basad ikhlas ek sajda charaagh-e-haq jalaata hai
woh talkheen sabr ki karke meri haalat pe hanstey hain
naseehat ki naseehat hai tamashe ka tamaasha hai
guzar hota hai jab mera kabhi maazi ki galiyon se
turab us dam mera bachpan muhjhe aawaz deta hai.
|
|
Back to top

#3
Syed Shiraz Mahdi Zia
azaaem jiskay pukhtaa thay , wo toofaanon say uththaa hai
kamee himmat ki jismain thee wo kashtee main hee doobaa hai
jo saahil par hee rehtaa hai wo daryaa kyaa samajhtaa hai
na samjhay rehkay andar hum ye aakhir kitnaa gehraa hai
khyaal apnaa muqayyad hai anaa kay qaid khaanay main
siwaa meray nigaahon main har ek insaan chotaa hai
ye khaamoshi naheen logo samaa'at kee hai kotaahi
dar-e-dil par jo dastak ho rahee hai kaun suntaa hai
hamaari phoonk se khursheed bujhtay thay magar ab to
hamaari jaan jaati hai diyaa gar timtimaata hai
main kyaa janoon zia saahab ke aakhir shaayeri kyaa hai
meree dewaani baaton ko zamaana sher kehtaa hai.
|
|
Back to top

#3
Ateeq Khan Saba
koii sahra mein ja phuncha, koii bun bun bhatakta hai
woh deewana hua jis ne tujhe ek baar dekha hai
nahin ahsaas kuchh iska koii janmon ka pyasa hai
jo hain sairaab pahle se wahin baadal barasta hai
tere aane ki ummeedon se shub bhar to chamakta hai
sahar hote hi armaanon ka suraj doob jata hai
juda karde ga ab koii na koii shaakh se mujh ko
yeh andesha hai dil mein phool phir bhi muskuraata hai
sunami, zalzale, sailaab kyun aate hain duniya mein
khuda rehmaan hai, socho, to phir kyun qahr dhata hai
badal leti hai apna raasta har ek khushi lekin
ghamon ka qafla seedhe mere ghar tak phunchta hai
andheron mein bhi rasta dhoond leta hai koii apna
"saba" lekin koii din ke ujaalon mein bhatakta hai
|
|
Back to top

#7
Mohammad Hidayatulla Fahmi
jawaan hai chaudhaveen ki shab, nazar men unka jal'wa hai
hamaare sar men ab, saudaa-e-dunyaa hai na uq'baa hai
hain mothee aankh men , lab par tabassum ka khazaana hai
hamaari zindagee bhar ka, mohabbat hi asaasa hai
zaraa si cho't lagthi hai tho chik'naa-choor hotha hai
hamaara ye dil-e-naazuk bhi sheeshe ka khilona hai
hamen ma'loom hai unke hai dil men kyaa, nazar men kya
hamaara tarjumaan-e-mudduaa-e-dil ye chehra hai
wo taare dekhnaa shab bhar,kab unki maang men bhar len
mohabbat karne waale dil ka bas itnaa fasaana hai
hamaare dil ko chal'ni kar rahe hain tan'z ke nash'tar
ke unki mus'kuraahat men banaawat bhi ziyaada hai
ham unke dar se kyaa nikle, puraane zakh'm yaad aaye
nazar hai khul'd par, rukthe hain pa, dil baith jatha hai
hamaare khat ko dil kahnaa, jalaana phir bujhaa dena
"naseehat ki naseehat hai, tamaashe ka tamaasha hai"
samajh'te they hamaare dil men taaqat do jahaan ki hai
sanam ke haath men laikin,hamaara dil khilona hai
hamaara sar wo sar hai, kat hi jaaye jhuk nahin saktha
mohabbat men magar "fahmi" hamaara sar bhi jhuk'tha hai
|
|
Back to top

#7
Wazir Hassan Wazir
teri yaado.n ki shamm"a se mere dil me.n ujaala hai
tujhe ger bhool jaao.n me.n andhera hi andhera hai
ager dekho.n to us me.n aks tera hi ubherta hai
niraale dhung ka jo aayena me.n ne tarasha hai
who jis ke jaber ke saaey me.n dunya saans leti hai
usi ke naam ka ab sare akhbaro.n me.n charcha hai
judaai deke who kehta hai usko bhool jaao.n me.n
bataao kia mohabbat me.n kabhi aisa bhi hota hai?
jise me.n dekhta ho.n chahata hoon pyar kerta ho.n
marowwat uski aankho.n me.n na dil uska kushada hai
usi soraj se ab to roshni milti nahi yaaro.n
bohot se chand ke badle jo ek soraj nikala hai
tahaffoz naam de ker aag ke sho"le who barsaey
ajab andaz se insaaniat pe zolm dhana hai
mohabbat hi zamane me.n nirala khel hai jis me.n
naseehat kee naseehat hai tamaashe kaa tamaashaa hai
wazir ab aaphansey he.n aan ker aise jazeerey me.n
nikalne ki koi sorat na ab jane ka rusta hai
|
|
Back to top

#9
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri
hamaara rab yeh kehta hai keh bolo kya tumhaara hai
zameeno.n aasmaano.n mei.n jau hai woh sab hamaara hai
musalsal ek nayee makhlooq kau hum khalq kartay hai.n
hamaaray aagay har banday nay apna sar jhukaaya hai
tumhaari neend tau kya oongh bhi humko nahi.n aati
yeh sab bando.n ki raahat kayliye humnay banaaya hai
nazar apni uthaao ghaur say dekho har ek shaye ko
keh harakat mei.n hai har zarra munazzam dahr saara hai
tumhaari dars gaahe.n aisee ho.n keh laug keh utthe.n
"naseehat kee naseehat hai tamaashay ka tamaasha hai"
kabhie mat bhoolna haamid mohammed(sawaw)ki shariat ko
sahaaray say isee kay khud ko insaa.n nay sanwaara hai
|
|
Back to top

#9
Zafar Saeed Jeelani Zafar
suna thukra ke takht-o-taj ko befikr rahta hai
wo jiske haathon mein kamli phati haathon mein kasa hai
saja kar mat isay rakkho padho samjho amal mein lo
ye quraan hai jo ahkam-e-ilahi ka khulasa hai
larazti hai moqaddas muskurahat maan ke hoton par
kisi bachche ka jab pehla sipara khatm hota hai
hamare rehbaron ko bhook rahti hai huqumat kee
hamare aalimon ke haath mein maslak ka jhanda hai
diya firaon ke jadugaron ko maat eisa ne
naseehat kee naseehat hai tamaashe ka tamaashaa hai
chaman ko wo bana kar us mein bhar deta hai raanayi
gulon ko wo banata hai unhein khusboo bhi deta hai
bikaoo ho gayin insaan kee jab khoobiyan saari
to phir batlao kiska kispe ktna ab bharosa hai
khuda napasandeeda wo hota hai "zafar" us dam
zubaan ko jab kabhi apni koi chaaku banata hai
|
|
Back to top

#11
Najeeb Reza Najeeb
ajab hai daastan dil kee chalan iska ye kaisa hai
usi ko yaad karta hai jise dil se bhulana hai
kitaab-e-jeest par iflaas kee deemak ka kabza hai
jo chehra chaand jaisa tha wahan chechak ka dhabba hai
hamare aur tumhare beech jo rishta hai kaisa hai
na ye sab hamne socha hai na ye sab usne socha hai
musibat ranj aafat haadsa zulm-o-sitam aahen,
dil-e-hasrat zada ab to bata de khail ye kya hai
nahi rah kar bhi rahti hai ta-aalluk cheez hai aisee,
hawa ka rukh badalne se kahin saaya badalta hai
jinhe aapas mein ham dono badalte rahte then yuhin,
abhi tak un kitabon par tumhara naam likkha hai
khilaunon ke liye bachche abhi tak jaagte hone,
tujhe aiy muflisi koi bahana dhoond lena hai
bahut din ho gaye tumne pukara tha mujhe lekin,
abhi tak dil ka darwaza usi dastak se hilta hai
hami bhoole nahi achchey burrey din aaj tak warna,
najeeb is daur mein cheezen purani kaun rakhta hai
|
|
Back to top

#12
Gulrez Khan Gulrez
sar-e-toor-e-tamannaa husn-e-jaana jalwa aara hai
naseehat kee naseehat hai tamaashe kaa tamaashaa hai
jise chaahe wo izzat de jise chaahe kare ruswaa,
wahi maazool karta hai wahi afzal banataa hai
masarrat k chamakte surajon k qurb kee khaatir,
hazaron meel tak phaile andheron se guzarna hai
hamare zauk-e-nazzaaraa k hain ye waswase aiy dil,
na chehre mein hai aainaa na aaine mein chehra hai
kabhi jab aag lagti hai kahin phoolon kee basti mein,
mujhe uljhan mein shauk-e-baagbaanee daal deta hai
kabhi shabnam,kabhi shola,kabhi jugnu,kabhi dariya,
hazaaron rang mere paon kaa chhalaa badaltaa hai
kisi surat bhi sik chukti nahi ye chaand kee roti,
na jaane kab se baithaa munh koi bhooka chalaataa hai
kabhi us baap kee ghurbat kaa andaazaa kare koi,
tasauwur mein jo apni beti kee doli sajaata hai
bahut mohtaat hai fitrat rah-e-taareekh saazee mein,
kayee sadiyan guzar jati hain tab ik pal banaata hai
muqabil aap k "gulrez" dast-e-karbala hoga,
khilaaf-e-zulm kuch kahne se pehle ye bhi sochaa hai
|
|
Back to top

#12
Khalid Hafeez Khalid
koi sehra mein apni tishnagi lekar bhatakta hai
koi aaidi ragadta hai to chashma phoot jata hai
wo har shab apne kamre ko baharon se sajata hai
savera hone par kamre ka guldasta badalta hai
kisi din rakh diye the hoth apne maa ne bachpan mein
mai boodha ho raha hoon phir bhi ye chehra chamakta hai
hame bachchon ka mustakbil liye phirta hai sadkon par
nahi to garmiyon mein kab koi ghar se nikalta hai
abhi maujood hai is gaon kee mitti mein khuddari
abhi bewa kee gairat se mahajan haar jata hai
jab us se guftgu kar li to phir shajra nahi poochha
hunar bakhiyagari ka aik turpayi mein khulta hai
kisi bebas ko rote dekh kar hasna nahi "khalid"
ye wo aansoo hain jinse takht-e-sultani palatta hai
|
|
Back to top

#14
Suneel Danish
safar hai tishnagi ka aur lakodak aik sehra hai
na sar par koi saya aur na rahon mein dariya hai
lahu ke daag dhokar ho gaye masoom fitrat sab
ke jaise meri basti mein har ik insan farishta hai
samaya hai dimago-dil mein mere is tarah se wo
nazar aata mujhe wo har taraf uska hi chehra hai
ye duniya phir bhi usko misr ka bazaar kahti hai
hamare shehr mein yusuf hai na koi zulaikha hai
khuda ne husn ki daulat usey ki hai ata aaisi
fakat "danish" hi kya sab ne likha uska qasida hai
|
|
Back to top


Previous Winners
November/December 2006September/October 2006July/August 2006May/June 2006March/April 2006January/February 2006November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|