|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: tujhe kis tamannaa se ham dekhte haiN |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Zeeshan Akhter Alvi |
90 |
Rawalpindi, Punjab, Pakistan |
| 2 |
Muhammad Aslam Fareedi |
88 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 3 |
Wazir Hassan Wazir |
86 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 4 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
84 |
Albany, New York, U.s.a. |
| 4 |
Muzaffar Muzaffar |
84 |
New Malden (london), Surrey, England |
| 6 |
Zubair Ansari Zubair |
82 |
Kalpi, Distt. Jalaun, Uttar Pradesh, India |
| 6 |
Syed Abu Turab Turab |
82 |
Sharjah, Sharjah, United Arab Emirates |
| 8 |
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri |
80 |
Bangalore, Karnataka, India |
| 8 |
Najeeb Qasir |
80 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 10 |
Yasir Farooq |
78 |
Karachi, Sindh, Pakistan |
| 11 |
Mohammedali Bhaidu Wafa |
60 |
Brampton, Ontario, Canada |
| 12 |
Abdul Muqtadir Mahak |
54 |
Kalpakkam, Tamilnadu, India |
|
|

Previous winners

#1
Zeeshan Akhter Alvi
chalo mil ke her gham ko hum dekhtey hei.n
qadam se mila ker qadam dekhtey hei.n
nahi.n yaad rehti woh zulf-e-girahgeer
hawadis ka jab paich-o-kham dekhtey hei.n
jab ik lafz per sir qalam ker diye jayei.n
woh manzar bhi ehl-e-qalam dekhtey hei.n
khuli aankh ehl-e-wafa ki hai jab se
sitam pe baraabar sitam dekhtey hei.n
hamei.n in ki had dekhni hai so hum yeh
masayel na ranj-o-alam dekhtey hei.n
yaha.n apni aankho.n mei.n khud aankh waaley
yaqeen-o-tahiyur baham dekhtey hei.n
woh ehl-e-nazar kaise bad-bakht hoo.n gay
jo farq-e-khuda-o-sanam dekhtey hei.n
tasavur se manzar talak tu hi tu hai
abhi hum tujhey kam se kam dekhtey hei.n
rukh-e-yaar per ab ke zeeshan kyo.n hum
hadees-e-adaawat raqam dekhtey hei.n
|
|
Back to top

#2
Muhammad Aslam Fareedi
sitam dekhtey hein karam dekhtey hein
jo hum pe guzerti hay hum dikhtey hein
tu dekhey na dekhey muger jane jana
tujhay dil ki ankhon se hum dekhtey hein
ghamon se wohi log manoos hongay
jo din rat ranj-o- alam dekhtey hein
na jane kahan jay gi bahki duniya
jo halat khuda ki qasam dekhtey hein
sar-e-auj-e-manzil wo pohanchengay kaise
jo batil kay naqshay qadam dekhtey hein
kuch is tarha se us ne zulfein sanwareen
kay bikhray huwe pecho khum dekhtey hein
humein yaad aatey hein hijrat kay lamhay
ager hum kabhi chashm-e- num dekhtey hein
sumbhal kar rahey zindagi say guzer na
kay her gaam per zer-o-bum dekhtey hein
sahafat pay shab khoon mara hay kisnay?
sazaon ki zad mein qalam dekhtey hein
bazahir haseen to bahut hein fareedi
magar khaab chahron ko kum dekhtey hein
|
|
Back to top

#3
Wazir Hassan Wazir
ajab tera chasham-e-karam dekhte hain
jidher dekhte hain sitam dekhte hain
mohabbat ki hum dastaa.n likhne wale
tagyyur main loh-o-qalam dekhte hain
pas-e-aaeena us ne kia rukh dia hai
na tum dekhte ho na hum dekhte hain
jidher dekheay khusksaali ka mosam
kahi.n bhi na mitti ko nam dekhte hain
wahi aik tanha sataish ke qabil
sitaaro.n pe jiske qadam dekhte hain
jise dekhne ki ijazat nahi hai
wahi kuch khuda ki qasam dekhte hain
wahi qatal-o-gharat ghari ka hai manzer
halaku ka uncha a’lam dekhte hain
sar-e-shaam sheher-e-nigaara.n main ja ker
tujhe charsu ay sana’m dekhte hain
khuda janta hai ke tu janta hai
tujhe kis tamannaa se hum dekhte hain
wazir ab unhe.n rehnumaai mili hai
hameesha jo aankho.n se kam dekhte hain
|
|
Back to top

#4
Tanwiruddin Ahmad Phool
na tum dekhte ho,na ham dekhte hain
mahabbat mein kab paich-o-kham dekhte hain
jo ulfat ke raste mein hote hain qurbaan
na woh haasil-e-baish-o-kam dekhte hain
thahar ibn-e-aadam!falak se malaaik
tamaashaa-e-ahl-e-sitam dekhte hain
zamaane ne kar li hai itni taraqqi
har ik ghar mein ham jaam-e-jam dekhte hain
sahaaraa usi ki hai rahmat kaa ham ko
falak ki taraf dam-ba-dam dekhte hain
zamaane mein ham apne dil ki nigah se
khuda ko khuda ki qasam dekhte hain
jo karta hai makhlooq-e-maula ki khidmat
usi ko sadaa muhtaram dekhte hain
shab-e-wasl woh tere dil kaa dharakna
nafas kaa tire zeer-o-bam dekhte hain
bataa phool!woh keon hai ghamgeen sahar-dam
ke ham chashm-e-shabnam ko nam dekhte hain
|
|
Back to top

#4
Muzaffar Muzaffar
gadaa mashq-e-ehl-e-sitam sekhte hain
ghaneemat hai dast-e-karam dekhte hain
siyaah zulf ke pesh-o-kham dekhte hain
yeh zanjeer kaesee hai ham dekhte hain
zamanah jise ku bah ku dhoondtaa hai
use ka'bah-e-dil men ham dekhte hain
naheen ranj-o-kulfat se aazaad koee
sabhee ko giraftaar-e-gham dekhte hain
yoon bazm-e-t^arab apnee weeran hoee hai
nah mut^rib nah naghmah nah sam dekhte hain
bigaara hai haal aesaa aashuftagee ne
nikaltaa huwaa apnaa dam dekhte hain
phate hain kaheen aablah paa-e-a'aashiq
keh dasht-o-bayabaan ko nam dekhte hain
nah guftah nah reh jae roodaad-e-ulfat
sunaa kar yeh qissah-e-gham dekhte hain
nah dekhe the aoraaq-e-dil yoon pareeshan
sanwartaa huwaa in ko kam dekhte hain
sar-e-t^oor layaa hai shaoq-e-ziyarat
"tujhe kis tamannaa se ham dekhte hain"
muz^affar muhabbat ne yeh din dikhaey
tujhe khud se bezaar ham dekhte hain
|
|
Back to top

#6
Zubair Ansari Zubair
kisee kee bhee aankhein jo nam dekhte hain
karam kee taraf tere ham dekhte hain
tera shukriyaa to har ek haal mein hai
khushee dekhte hain na gham dekhte hain
shab-o-roz, shaam-o-sahar, koi din ho
tera sirf jalwaa sanam dekhte hain
falaq na zameen, koh-o-saagar na jaanein
tujhe kis tamannaa se ham dekhte hain
jhukaa na sakaa jisko saaraa zamaanaa
tere dar pe wo sar bhee kham dekhte hain
meree kachchee deewaar hee nam naheen hai
badan pattharon ka bhee nam dekhte hain
pataakhon se darte the kal tak jo bachche
ham unke bhee haathon mein bam dekhte hain
unhein apnaa kahne mein dar lag rahaa hai
hamaaree taraf wo to kam dekhte hain
kiyaa hamko behis ye kaisee anaa hai
khushee dekhte hain na gham dekhte hain
naheen hai pataa inko mittee kee qeemat
ajab hain ye daam-o-diram dekhte hain
"zubair" apne baare mein likhne ko ab ham
waraq dekhte hain kalam dekhte hain
|
|
Back to top

#6
Syed Abu Turab Turab
sabhi har taraf se baham dekhte hain
in aankhon mein duniya ko zam dekhte hain
taraqqi ki kirnon ne kya kuch dikhaya
ke ghar ghar mein ab jaam-e-jam dekhte hain
tere aastan ki taraf hain rawan hum
farishton ko bhi hum-khadam dekhte hain
bayan kis tarah ho tere dar ki azmath
jahan har bulandi ko kham dekhte hain
khulega to nafrat ka toofan hoga
jahan chahaton ka bharam dekhte hain
kabhi zulmaton se rihai bhi hogi
basad-yaas baab-e-karam dekhte hain
mohabbat muravvat inayat saqawat
zamane mein ab kam se kam dekhte hain
bahut garm rehta hai bazar-e-iman
dukanon mein deen-o-dharam dekhte hain
sada tod dete hain usko ba-mae haath
jahan par bhi haq-go qalam dekhte hain
kiya hai ye ahsan ahl-e-sukhan ne
jo hum haq ka ooncha alam dekhte hain
qadam apne yeh sonch kar tum uthao
tumhe kis tamanna se hum dekhte hian
khilaen jo duniya mein ulfath ki kaliya
yaheen par woh bagh-e-erum dekhte hain
udasi mein gharqaab lagti hain duniya
kabhi uski aankhen jo nam dekhte hain
wafa karni chahi magar ho na paai
turab aaj khakar qasam dekhte hain
|
|
Back to top

#8
Syed Hamid Hussain Baaqri Haamidbaaqri
jahaan dekho zulmo sitam dekhtay hain
hum insaaniyat kay alam dekhtay hain
khuda nay kaha muttahid haukay jeenaa
magar muntashir sabkau hum dekhtay hain
jau parcham uthaaye hain insaaniyat ka
hum unmein bhi insaan kam dekhtay hain
sisakti hai insaaniyat aaj phir bhi
kisee kau kisee ka nah hum dekhtay hain
khabardaar hau jaayen zaalim jahaan kay
nazaaray yeh ahlay qalam dekhtay hain
chalo inquilaab aik laayen jahaan mein
hamaari taraf ahlay gham dekhtay hain
mohammed(sawaw)kay haamid say kehti hai duniya
"tujhay kis tamanna say hum dekhtay hain"
|
|
Back to top

#8
Najeeb Qasir
kahan kis taraf aur ham dekhte hain
tujhe her taraf aey sanam dekhte hain
mujhe ye gila hai ke ahle zamana
tujhe meri aankhon se kam dekhte hain
teri aank se dekhte hain jahan ko
teri aankh ko jaame jam dekhte hain
sarapa tera samne jab bhi aaey
to maail ghazal per qalam dekhte hain
agar ham qadam ho kabhi tum hamare
to dunya ko zere qadam dekhte hain
kisi rukh pe jab thehrti hain nigahain
tumhi ko tasawwur mein ham dekhte hain
nigahain milaain ke khud ko sanbhalain
wo ham ko bachashme karam dekhte hain
ye lagta hai bas ik tumhari kami thee
ke ham ghar ko rashke erum dekhte hain
wo khole huwe baal aate hain qasir
nikalta huwa apna dam dekhte hain
|
|
Back to top

#10
Yasir Farooq
unhain hai shikayat k hum dekhte hain
hum apni nazar main, to kam dekhte hain
usay dard hai , wo khushi bantta hai
dukhoon ki bahar-e-karam dekhte hain
ye kiya dard ka koi diwana-pan hai?
bhatakta ise dil main ham dekhte hain
kinare pe jo shae bhi rakkhi hoi hai
usay aik khatre main ham dekhte hain
is ummat k diwaane kaise yaqeen se
baharoon k naqsh-e-qadam dekhte hain
thakan aik , hoti hai bekaari ki bhi
faraagat k kaar-e-sitam dekhte hain
bataa dain to mushtaaq tum kiya raho gay?
“tujhe kis tamanna se ham dekhte hain”
ye ibleesi kaaz aur, kaarinde mukhlis
bohat maq’sadiyyat main dam dekhte hain
kara k wo qeemat ko kam, kitne khush hain
koi gir gaya hai , ye kam dekhte hain
ye kaisa hai emaan, ye kaisa yaqeen hai
k hum khamushi se sitam dekhte hain
|
|
Back to top

#11
Mohammedali Bhaidu Wafa
karam ki jagah par sitam dekhte hain
are dost ye kya julam dekhte hain.
kabhee chashme veeraan ko num hone dete
parishaanae zoolfome gum dekhte hain.
tagaful tumhara himalay bana hai
tuze kis tamannase ham dekhte hain.
koi jabra hai ya ye feetrat tumhari
hamaaree taraf tum kum dekhate hain.
badalana naheen ab koi besh padtaa
khuli aankhse hum bharam dekhte hain.
ajee hum to garveeda dedara ke the
hai lanat jot tere qadam dekhte hain.
|
|
Back to top

#12
Abdul Muqtadir Mahak
garibi main aur kya hum dekhte hain
jidhar bhi nazar jaye gam dekte hain
khushi ka bhi sapna agar humko aaye
bas aankhon ko apni nam dekhte hain
roshan hain mehfil ameero ki dekhon
charaag apna hum to tam dekhte hain
karam hi barasta tha khuda ke gharon main
vahan par bhi ab to hum bam dekhte hain
na ho khuwaish jisko duniya ki mahak
bas khuwabo main yesa sanam dekhte hain
|
|
Back to top


Previous Winners
March/April 2007January/February 2007November/December 2006September/October 2006July/August 2006May/June 2006March/April 2006January/February 2006November/December 2005September/October 2005July/August 2005June 2005
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004

|
|
|