|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|
Poetry Competition #5 Winners
The winner of January/February 2005 poetry competition, based on taraH misra
"too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa" is
ZafarIqbal Syed Amar of Sharjah, United Arab Emirates.
ZafarIqbal will receive an Urdu poetry book and an Award of Achievement from Mehfil-e-Mushaira.
The following is a list of top participants. Mehfil-e-Mushaira would like to congratulate them all.

| 1. |
ZafarIqbal Syed Amar (60 points), Sharjah, United Arab Emirates |
| 2. |
Riaz Ahmed Saraa (58 points), Lahore, Punjab, Pakistan |
| 3. |
Moona Sharif Nigaah (56 points), Karachi, Sind, Pakistan, and
Shehzad Hanif (56 points), Multan, Punjab, Pakistan |
| 5. |
Muhammad Aslam Fareedi (54 points), Karachi, Sind, Pakistan, and
Tanwiruddin Ahmad Phool (54 points), Karachi, Sind, Pakistan |
| 7. |
Ateeq Khan Saba (52 points), Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India |
| 8. |
Muhammad Obaidullah Sagar (50 points), Karachi, Sindh, Pakistan and
Syed Shiraz Mahdi Zia (50 points), Karlskrona, Blekinge, Sweden |
| 10. |
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi (44 points), Kinshasa, Kin, Democratic Republic of Congo, and
Mohammed Abdul Hameed (44 points), Karlshamn, Blekinge, Sweden |
| 12. |
Jamal Abdul Nasir Jamal (42 points), Faisalabad, Punjab, Pakistan |
| 13. |
Tahira Masood Tahira (40 points), Toronto, Ontario, Canada
|

#1 ZafarIqbal Syed Amar
tayray maikhanay se jo tishna-o-nashad aya
kia tere samnay lekar kabhi faryad aya?
maan lon kaisay, faqat apni pari hai sab ko
"tu jo hangama-e-mehshar main mujhay yad aya"
kar kay phir ehd-e-wafa, zehn pay chaya koi
phir say batoon main kisi ki dil-e-barbad aya
jab bhi manoos hua us kay sitam say main to
lekay andaz naya woh sitam ijad aya
aazmaish hay na pabandi hay pehlay jaisi
phir bhi majboor nazar aaj ka farhad aya
uski tazeem hui jis nay ujara gulshan
sab hi anjan thay jab baaes-e-uftad aya
sarhad-e-jaN ki hifazat say AMAR ghaflat kion?
kis taraj ghaat laganay koi sai-yad aya
|
|
Back to top

#2 Riaz Ahmed Saraa
jab se dil meiN woh sitam paisha pari zaad aayaa
kaif-o-masti-o-junooN taishah-e-farhaad aayaa
tairi meHfil meiN ga'ya jo bhi thaa shaadaaN farHaaN
aur aaya hai to le kar dil-e-naashaad aayaa
ban ga'aii aik qiyaamat peh qiaamat jaanaaN
:too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:
payaar ki aik nazar jis peh bhi daali too ne
kaamyaabi ki woh le kar ka'ii asnaad aayaa
aaj mehfil meiN ghazal ham ne sunaaii jo riaz
ehl-e-meHfil ne kahaa Meer saa ustaad aayaa
|
|
Back to top

#3 Moona Sharif Nigaah
rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa
tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa
roz ki baat pe kiaa aah-o-fuGhaani keeje
kia hua aaj bhi qaasid miraa naashaad aayaa
ik lagaao hai ajab saa mujhe veeraanoN say
raah lete haiN badal, sheher jo aabaad aayaa
hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa
haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa
shaadi-e-marg na ho jaaye kahiN hum pe Nigaah
aaj un ko hai Khayaal-e-dil-e-barbaad aayaa
|
|
Back to top

#3 Shehzad Hanif
kabhi majnon, kabhi ranjha kabhi farhad aaya
ishq nagari se jo loata, bara barbad aaya
meri turbat pay jo aya hey pasheman ko key
mein usey yaad bhee aaya houn to kab yaad aya
tab kaheen jaa key meray dil nay bhe paya aram
"too jo haNgaamah-e-meHshar mein mujhe yaad aayaa"
ab isay kya kahain taqdeer ki khoobi kaiy siwa
mien to manzil pay phunch kar bhee namurad aaya
surkh honey kou hey dajla ka kinara phir sey
koi barbar kya dobara soaiy baghdad aaya
ham ney samjha tha key hoga yeh musafir koi
thaka hara tou kahan sey dil-e-nashad aayaa
"shaz" majbor they rakhna hi para uskaa bharam
barey hi chao sey laynay hamien sayyad aaya
|
|
Back to top

#5 Muhammad Aslam Fareedi
koee majnoo na koe chehra-e-farhaad aaya
sirf aaya to merey ahd ka bahzaad aaya
phir zameen khof-e-khuda say laraz uthhi logo
khaab jannat ka liye phir koe shaddaad aaya
kargaya jo meri duniya-e-haseen ko weeraan
aaj phir barsar-e-baaleen wo bahut yaad aaya
bab-e-jaan ki meray zanjeer hilayi kisnay
keya farishta to naheen wo jisay main yaad aaya
qaid-e-gulshan ki jafaaon pa moaafi keliay
apnay chehray ko badal kar wohi saiyaad aaya
maut ki qaid say niklaa to basad shukr kahaa
keya ye kam hai ke sunaami say main azaad aaya
aey fareedi teraa apna jo naheen thaa koee
purshish-e-gham kay liay bhi sitam eejaad aaya
|
|
Back to top

#5 Tanwiruddin Ahmad Phool
Koocha-e-yaar mein lab par liye faryaad aaya
Haaie afsos na koi pae imdaad aaya
Dil mein ik aur hi barpa huaa mahshar mairey
Tu jo hangama-e-mahshar mein mujhe yaad aaya
Aaeen jab qasr-e-Zulaikha mein zanaan-e-Misree
Dekha Yousuf ko to boleen ke pari zaad aaya
Koi mazdoor jo mehnat ka sila pa na saka
Tab tasawwur mein merey taisha-e-Farhaad aaya
Hai malaaek se kabhi aala kabhi hai asfal
Shakl-e-Aadam mein hai majmooa-e-azdaad aaya
Hausla kis ne barhaya thaa Halaaku ka yahaan?
Saath us ke tha farishton ka woh ustaad aaya
Aik aabaadi to yeh bhi hai yeh socha dil ney
Fateha parhne ko jab main adamaabaad aaya
Hurmala! phool si gardan ko kiya khoon aalood
Koi aaisa na jahaan mein sitam eejaad aaya
Aik aari si chali Phool dil-e-Sughra par
Qaafla Shaam se ho ke jo woh barbaad aaya
|
|
Back to top

#7 Ateeq Khan Saba
Be-hijabaana jo woh baani- e - bedaad aaya
Yun laga jaise ki fun para-e-behzaad aaya
Moaarka huq ka hamesha hi raha baatil se
Kabhi namrood hua aur kabhi shaddaad aaya
Main ne naakardah gunahon ka bhi iqraar kiya
"Tu jo hungama-e-mahshar mein mujhe yaad aaya"
Kaise us baap ka ho haal bayan lafzon mein
Jiske shaanon pe jawan laasha-e-aulaad aaya
Jab koii karne laga apni tabaahi ka bayaan
Mujhko bho apne rafeeqon ka karam yaad aaya
Daur-e-azmat mein to laate the sabhi nazraane
waqt - e - imdaad na lekar koii imdaad aaya
Jab pareen us but-e-kaafir pe nigaahen meri
Mere seene mein bhi dil hai yeh mujhe yaad aaya
Aur honge jinhe milte hain musarrat ke guhar
Main hamesha hi teri bazm se nashaad aaya
|
|
Back to top

#8 Muhammad Obaidullah Sagar
Ab kay shahkaar nazar jo sar-e-eejad aaya
Apne daman main samaitay hoay bedad aaya
Saltanat haath jahaNdar kay jub bhee Aayi
Dil nay berjasta kaha lamha-e- uftaad aaya
Main sada saath chala rah-e-wafa main lakin
Samnay aaya natija to khoda yaad aaya
Janta he naheeN jo mehro wafa ka matlab
Aisey pathher pe mere ai diley nashaad aaya
Apnay bebak tayaqqun ka sahara laker
Jab chala hoon to dar-e-bait-e- hunerzaad aaya
Daro diwar charaghoon say mozayyan kerdo
Mera monis mera hamdam mera humzaad aaya
Tujh pay maabood-e-haqiqi ka karam hai Sagar
Bazm-e-khuban main jo too shaad gaya shaad aaya
|
|
Back to top

#8 Syed Shiraz Mahdi Zia
Garche Firoun,kabhee Jehel kabhee Aad aayaa
Har kisee qaum ko Khaliq se koi haad aayaa
Kabhee jakrhaa thaa shikanjay ne badan ko mere
par meraa zehen to har baar hee aazaad aayaa
Gir gayee thee wo imaarat jo banee thee shak par
isliye rakh kay yaqeeN kee wahaaN bunyaad aayaa
dil naheeN seenoN meN patthar jo milay thay mujhko
dil kee bastee ko kiye dil se maiN aabaad aayaa
Rabb-e-mehshar kay siwaa , Shafiy-e-Mehshar kay siwaa
kaun haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa
Aas meN saaray hee baithay thay rihaaee kee magar
lekar ek aur parinday ko wo sayyaad aayaa
meray dar say hee masarrat ne usay bhej diyaa
gham jo lauTaa meray ghar say to wo naashaad aayaa
Aainaa kyoN na dikhaayaa usay tumnay ay Zia
Tumse milnay kay liye jab koi naqqaad aayaa
|
|
Back to top

#10 Jhony Penta Tashna Ahmedabadi
doast jab meraa mujhe karney ko barbaad aayaa
wo jo dushman thaa meri karney ko imdaad aayaa
thii bahuut baad e khizaa phir bhi meiN aabaad aayaa
too jo hungaama e mehshar meN mujhe yaad aayaa
hashr meN meer ko dekhaa tau ye ghaalib ne kahaa
mujhko dene ke liye haushlaa ustaad aayaa
pehle mujhko kar diyaa zakhmi bhi usney tiir se
phir ayaadat ke liye merii wo saiyyaad aayaa
kyaa bataaye hum jahaaN ko haal unkaa kyaa huaa
kar diyaa ghamgiin mujhko,khud bhii naashaad aayaa$
bas kaf e afsoos mal kar, chikh kar be sakhtaa
aaino ke saamne, meiN misl e fariyaad aayaa
kis kadar uktaa gayaa thaa zindagi ke baar se
lene 'Tashna' ko tabhii maut ka jallaad aayaa
|
|
Back to top

#10 Mohammed Abdul Hameed
Ek naee reet yuN hee karkay main eejaad aayaa
gham kee mehfil say jo lautaa to bahut shaad aayaa
khud kee nazroN main giraa aisay ke uTh hee na sakaa
jab meray saamnay zikr-e-kaar-e-ajdaad aayaa
meiN kahaan raah-e-taraqqee main taraqqee kartaa
misl-e-deewaar meree raah maiN hamzaad aayaa
maslehat see gayee munsif kay laboN ko paiham
lekay mazloom koi paas jo faryaad aayaa
mard-e-momin ko main dhooNdne niklaa thaa Hameed
saamnay to kabhee majnoo kabhee farhaad aayaa
|
|
Back to top

#12 Jamal Abdul Nasir Jamal
Zubaan Pe Phir Se Wohi Naala-o-Faryaad aayaa
Sitam Zareef tera Jab Bhi Sitam Yaad aaYaa
Wo Tere wisl ka Lamha Jo Mujhe Yaad aaYaa (Husn-e-Matla)
Labon Pe Naghma-e-SarMasti-o-Dilshaad aayaa
Raha Na Soz-e-Duroon Aaftab-e-Mehshar Main
“too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa”
Zuban Be-Saakhta Salle-Aalaa Pukaar Utthee (Girah-e-Saani)
“too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa”
Saza Na De Saka Mujh Ko meri Wafaon Par
Ke Mere Shehar ka har Munsif-e-BeDaad aayaa
Faza Bhi Chup Si hay Panchee Bhi Sehme Baithay Hain
Meray Chaman Main Kaheen Phir Koi Sayyaad aayaa
Meri Aankhen Bhi Usee Rang Se Pur-Noor Hoeen
Jo Rang Aasmaan Pe Barishon Ke Baad aayaa
Nahin Wo Josh-e-Junoon Na Wo Ishq-e-Saadiq Hay
Na Phir Jahann Main wo Taesha-e-Farhaad aayaa
Huyee Hay Mustajab Har Duaa Meri Jab Se
Yaqeen-e-Innaka Laa Yukhlif-ul-Meeyaad aayaa
Kisi Ne Baat Na Poochi meray alam Ki “JAMAL”
Meray Sakoot Main Bas Ik Mera Hamzaad aayaa
|
|
Back to top

#13 Tahira Masood Tahira
saamane yazdaaN k liay hoNtoN peh feryaad aaya
"too hangaamah-e-meHshar meN mujhae yaad aaya"
uss ki Hairat kaa nah poocho keh bohat deed'ni thi
aap hi daam men jab apnae woh Sayyad aaya
ikk nazar dekh k m'asoom behal hi saa gayaa
jab terae der peh dil-e-khaanmaaN berbaad aaya
kabhi badlo gae ravish mujh peh sitam joree ki?
ikk zamaanae sae hoN sehtaa teri baidaad aaya
aa keh ess hijr ki tanhaee kaa ho koee ilaaj
aa keh le ker hoN meN lab peh yehi feryaad aaya
ab usee cheez sae khatrah hai no-e-insaaN ko
jis ko sadiyoN sae hai kertae huae eejad aaya
jo terae waastae keh thaa maaNgtaa her roz duaa
wahee haathaoN sae terae ho k hai berbaad aaya
|
|
Back to top

Previous Winners
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004
|
|
|