|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: kiyaa salaam jo saaqee se ham ne jaam liyaa |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Muhammad Aslam Fareedi |
78 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 2 |
Muhammad Usman Qaiser |
76 |
Orangi Town, Karachi, Sind, Pakistan |
| 2 |
Muhammad Obaidullah Sagar |
76 |
Orangi Town, Karachi, Sind, Pakistan |
| 2 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
76 |
North Nazimabad, Karachi, Sind, Pakistan |
| 5 |
Sajid Hashmi Sajid |
74 |
Rajgarh (biaora), MP, India |
| 6 |
Zafariqbal Syed Amar |
70 |
Sharjah, United Arab Emirates |
| 7 |
Qamar Zaman Paihum |
64 |
Orangi Town, Karachi, Sind, Pakistan |
| 8 |
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi |
58 |
Kinshasa, Democratic Republic of Congo |
| 9 |
Khurshid Rizvi Naiyer |
56 |
Riyadh, Saudi Arabia |
| 9 |
Shehzad Hanif |
56 |
Multan, Punjab, Pakistan |
| 11 |
Akif Ghani |
54 |
Garges Les Gonesse, Paris, France |
|
|

Previous winners

#1 Muhammad Aslam Fareedi

Jab apnay haath mein sahra ka intezam liya
jonu ko chhor kay aqlo-khirad say kaam liya
kabhi na bhool sakay ga koi soonaami ko
bhanwar kay ghaizo-ghazab nay wo inteqaam liya
na janay konsi wo manzilay mohabbat thi
kay ham nay be-khabri mein bhi tera naam liya
zameen to keya ke faza mein bhi ham rahay azad
simat kay rah na sakay, balupar say kaam liya
wo sirf teira iraada hai, sirf teira kholoos
kay toonay zeest mein aala koi muqaam liya
teray kheyal say wabastagi ka ye aalam
kay jab bhi naam liya teira subho-shaam liya
wo dosti ka talab gaar ho na ho lekin
jab usnay haath barhaya to ham nay thaam liya
safar main umre fareedi guzaar di ham nay
kabhi salaam kiya aur kabhi salaam liya
|
|
Back to top

#2 Muhammad Usman Qaiser
Rah-e-wafa mey Khirad sey jo main ney Kaam liyaa
Tombarey jorm Ka elzaam apney naam liyaa
MaiN sadqey jawooN na KeyoN oski Kaj adaayi per
Khata Kisi Ki Thi Our mujh sey enteqaam liyaa
Amir-e-shahr ney ek aik saNs Key liadley
Hamaari aanKhoN sey tawaan salh-o-sham liyaa
Malal Os sey lichharney Ka ek mojhey hi nahi
Bachashm-e-yaas Khod Osney mera slaam liyaa
Rah-e-wafa mey Khataawar maiN bus entnaa hooN
Odaas aanKhoon Ki olfat Ka Keyon payaam liyaa
Safina OsKa thapairooN mey dagmagaey KeyoN ?
Khoda Key zikr Ki rassi ko jisney thaam liyaa
Hawaas-o-hosh sey begana ho gayaa "KAISER"
wafoor-e-showque mey saqi sey jooNhi jaam Liyaa
|
|
Back to top

#2 Muhammad Obaidullah Sagar
Qadam qadam pe mohabbat say maiN nay kaam liya
Daroon-e-qalb gayaa gosha-e- qayaam liya
Amal ka radd-e-amal hai mafer naheeN mumkin
Jab ehteraam kiya tab he ehteraam liya
Nazar maiN khiNch gayee tasweer kaamraani kee
Amal say qabl jo maiN nay khoda ka naam liya
NigahaiN milti rahiN lub mager khamoosh rahay
Is ehtemaam say saaqi say maiN nay jaam liya
Muaamley kay dhundalkay chhatay to phir usnay
Qareeb aatay he daaman hamaara thaam liya
Meray rafiq ! rafaaqat ki aabroo kay liay
Khud apnay doosh pay her baar-e- intezaam liya
Wafa kee raah maiN Sagar habeeb say he nahiN
Raqeeb say bhee muhabbat bharaa payaam liya
|
|
Back to top

#2 Tanwiruddin Ahmad Phool
Zamane walon ne hai berukhi se kaam liya
Chale sanam ki taraf aur Khuda ka naam liya
Yeh rashk-e-tabish-e-khursheed sar hai ke jis ko
Sinaan ki noak pa tu ne sipah-e-shaam liya
Uroos-e-mehr ne us par nisaar keen kirnain
Sahar ne doobte taaron se jab salaam liya
Woh bai-wafa hai usai kiya wafa sikhaein ham
Wafa ka naam bhi us ne baraie naam liya
Hamain to hosh-o-khirad ka hamesha paas raha
Baqadr-e-zarf hi saaqi se ham ne jaam liya
Sahara deta raha aik dast-e-naa deeda
Usi ke lutf ne girte huon ko thaam liya
Khayal-e-khatir-e-mahboob ham ko rakhna tha
Jab us ka naam liya to ba-ehtaraam liya
Bawaqt-e-fajr azanon se roshni phaili
Khuda ke baad jo naam-e-Shah-e-anaam liya
Chaman mein titliyaan shaakhain badalti rahti hain
Magar kisi ne bhi un se na inteqaam liya
Kaha yeh Phool ne harjai main naheen hargiz
Jo naam us ka liya main ne to mudaam liya
|
|
Back to top

#5 Sajid Hashmi Sajid
Museebaton ne jo chhorha to gham ne thaam liya
Meri anaa ne esee terha inteqaam liya
Mera junoon-e-mohabbat urooj per pahuncha
Tera hee naam liya aur subh-o-sham liya
Sharab hee nahein derkaar hai nashe ke liye
Suroor barh gaya aankhon se jab bhee jaam liya
Her eik raah pe tere qadam ke naqsh mile
Tere karam ka utaara her eik gaam liya
Kisee diwane ne jab bekalee se kaam liya
Jiya to tanz sahe aur mara salaam liya
Wafa ke mol me neelaam ho raha houn barhho
Mujhe bhi fakhra ho ke aapne ghulaam liya
Mera ye dil barhha anmol tha mager SAJID
Teri janab me rakhkhaa na koee jaam liya
|
|
Back to top

#6 Zafariqbal Syed Amar
Na kuch kalam kia, bus mera salam lia
Najanay kaunsa yaroon nay inteqam lia
Mujhay to niyyat-e-qasid pay hai guman, ke who
Mila raqeeb say kion gar mera payam lia
Jamal aisa kay sab dang ho gaey thay magar
“kia salam jo saqee say hum nay jaam lia”
Hawa ka geet, bagolay ka raqs, sehra main
Sada-e-shorish-e-majnoon say kuch to kaam lia
Yeh jism-e-khaak main ik noor ki lehar kia hay?
Yeh meray kaan main kis nay who aik naam lia?
Yeh hashr-o-nashr agar sirf chand isharay hain
Tou phir isharoon nay aalam ko kaisay thaam lia
Tumhara ilm hai mehdood, phir bhi rai zani?
::amar:: pata hai tumhen kis nay kia muqaam lia?
|
|
Back to top

#7 Qamar Zaman Paihum
ZubaaN Khamoosh rahee aansooN se kaam liya
Utha jo dard to main ney jigaN Ko thaam liya
Na tughh se shikwa kiya aur na inteqaam liya
Nazar se daaman-e-sabro raza ko thaanm liya
Meree nigahoN ne Kee aarzoo-e-deed agar
Dikha ke jalwa nighahooN ne inteqaam liya
Sorooro kaif ki duniya khareed lee maiN ney
Badha ke haat na saqee se kooi jaam liya
Pyaam hum ne diya jab bhi us gul-e-tar Ko
Naseem-e-subh se naamaa bree ka kaam liya
kisee jawaab ki khahish na thee merey dil maiN
khushee hai tum ne agar naama-e-ghuleam liya
Jabus baare me tafteesh kee lab-e-gul net
Naseem-e-subh ke lehjay me uska naam liya
Meree aseeri ka mansooba saaz tha sayyaad
Khabapne haat me gulshan ka intezaam liya
MeiN sarbuland raha kaam gah-e-hastee meiN
Ma-e-Haqaaiq-e-ulfat ka talkh jaam liya
MeiN deikhtaa raha aaghoosh-e-abr ko "PAIHUM"
Meree nigah me jisney mah-e-yamaam liya
|
|
Back to top

#8 Jhony Penta Tashna Ahmedabadi
shab e firaaq jo maine tumhaaraa naam liyaa
falaq ne chaand se suraj saa saKht kaam liyaa
ye baat nahiN kaabil e kubul mujhe
kaam kuch aur kiyaa, aur hii kuch daam liyaa
mujhe khabar haiN, zamaanaa bhale kahe kuch bhi
daam kaa naam thaa tumne magar in'aam liyaa
kahengi 'shaaheedaa' shaayad ye keh de 'sarwar' bhi
kiyaa salaam jo saaqee se ham ne jaam liyaa
salaam kaafir o ko ham kiyaa nahiN karte
isi ke vaaste ham ne wo laakalaam liyaa
wo raazdaar haiN mere, isi se lagtaa haiN
tamaam baat bataadi kahiiN na naam liyaa
ye intehaa e mohabbat nahiN tau phir kyaa haiN
udhar Giire wo, idhar maine dil ko thaam liyaa
nazar ko bhaaYe tau dil meN basaa liyaa tumko
lagii jo cHaut tau palakoN pe phir makaam liyaa
wo log jo dushman hai pyaar ke, unse
isi ghazal ke tahad hamne inteqaam liyaa
hameiN khabar hai ki awwal tau aa nahiN shakte
kahaaN ghazal ko wo 'tashna' ne rang tamaam liyaa
|
|
Back to top

#9 Khurshid Rizvi Naiyer
Ba sad khuloos o muhabbat tera hi naam liyaa
Kiyaa salaam jo saaqee se han ne jaam liyaa
Woh shaahkaar jo patthar meN tha nazar aaya
Kafe Aariz ne jo teeshaa ko badh ke thaam liyaa
Usee se kar gayi ghaafil ye matlabi duniyaa
Woh jiskaa naam muazzin ne subh o shaam liyaa
Bhulane baitha jo usko to mudateN guzree
Kuchh is tarah se muhabbat ka inteqaam liyaa
Use hi taaj mila or hameN hi daar o rasan
Wafaa to hamne kiyaa usne faqat naam liyaa
Mataae gham hai kamaaya usi ne aye "Naiyer"
Bade hi sarb o tahammul se jis ne kaam liyaa
|
|
Back to top

#9 Shehzad Hanif
khushamadon sey, kabhi minnaton sey kaam lyaa
Kya salam jo saqi sey ham ney jaam lyaa
pochtey kya ho m(e)ri khush gumani-yun kaa haal
wafaa key zikr pey dill ney tumhara naam lyaa
chalaa tha mey-kashon sey munhh pher kar naaseh
hami ney doar key girtey hu'woon ko thaam lyaa
suntey they musafir ki nida lot-ti nahin khali
safar mien naam tumhara har aik gaam lyaa
na khud kaheen key rahey aur naa rakha mujh ko
baja hey ley tou lyaa,kis sey inteqaam lyaa
"sabeeh" yeh raah-e-junoon is qadar na thee dushwar
sitam tou ham ney kya hosh sey jou kaam lyaa
|
|
Back to top

#11 Akif Ghani
Zub'an laraz see g'ai jab tum'hara naam lia
Hosla kab tha magar hosley se kaam lia
Tum'harey naam ka saghir bana dawa meri
Subah sawere lia ;din ko lia ; sham lia
Tashna kami tau meri aur bhi barhti hee gai
Jab bhee deedar ka tere zara sa jaam lia
Kab zamaney ka ussey khauf reh gia hamdam
Girney waley ko jo saqi ney kabhi tham lia
Apney Allah peh bharosa tha hamein Akif Jee
Ussi ka naam sadda ha, ney har ik gaam lia
|
|
Back to top


Previous Winners
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004
 |
|
|