|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|

|
|
| Misra-e-Tarah: ik baat keh rahaa hooN, shikwah gilaa naheeN hai |
| Rank |
Poet |
Pts. |
Location |
| 1 |
Muhammad Nooruddin Mauj |
84 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 2 |
Muhammad Aslam Fareedi |
80 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 3 |
Mohammad Hidayatulla Fahmi |
78 |
Anantapur, Andhra Pradesh, India |
| 3 |
Sajid Warsi Sajid |
78 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 3 |
Tanwiruddin Ahmad Phool |
78 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 6 |
Aneela Mahmood Qarar Jafree |
76 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 7 |
Muhammad Munir Qasim |
74 |
Peshawar, NWFP, Pakistan |
| 8 |
Sajid Hashmi Sajid |
68 |
Rajgarh (Biaora), MP, India |
| 8 |
Yasir Farooq Yasir |
68 |
Karachi, Sind, Pakistan |
| 10 |
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi |
64 |
Kinshasa, Democratic Republic of Congo |
| 11 |
Mona Saeed Manzar |
62 |
Karachi, Sind, Pakistan |
|
|

Previous winners

#1 Muhammad Nooruddin Mauj
Norr-e-khoda hai kya shai tum ko pata naheeN hai
Jo phoonk sai bojhay who aisa diya naheeN hai
Teri wafaoN maiN ek boo-e-wafa naheeN hai
Ek baat kah raha hooN shikwah gila nahi hai
Jab khilwatoN maiN aa kar kartay ho mujh sai baataiN
Lagta hai tum hi tum ho aur dosra nahi hai
HaiN chund phool sookhay jo chaho aao lai lo
Meray chaman ka koyee pauda hara nahi hai
Afsana likh raha hai woh meray hee jonoo ka
Laikin kaheen bhi mera kuch tazkirah nahi hai
Itna hai door mujh sai aata nahi nazar woh
Laikin jo sochta hooN koch fasla nahi hai
Har rung meray khooN ka rug rug main hai gooloN ki
Laikin woh kah rahay haiN rung-e-wafa nahi hai
Guzra thha woh bhi ek din iss dil kay rahguzar say
Jis ka hai naqsh baqee ab tak mita naheeN hai
Etna pata hai uski mutthee maiN meri jaan hai
Mai jaanta hooN mera woh to khoda naheeN hai
Meri ghazal say maana unko milee hai shohrat
Mauj unka zikr Lekin maiN nay kiya naheeN hai
|
|
Back to top

#2 Muhammad Aslam Fareedi
shaayed ke aye musaafir tu janta naheen hai
duniyaan ki rahguzar main keya kuchh hua naheen hai.
wo lafz gunjtaa hai maray lahoo key andar
jis lafz ko kisi nay abtak sunaa naheen hai.
aadab-e-zindagaani wo keya sikhaa sakay gaa
jis aadmi ki hasti khud aaenaa naheen hai.
saansoon main aag lagti sholaa koi to uthtaa
shaayed chiraag-e-ulfat dil main jala naheen hai.
aye per shikastaa taaer urnay ki koshishain kar
keyon sochta hai tujh main wo hausla naheen hai.
naadan hain wo jo qismat ka haal poochtay hain
haalankay in lakeeron main kuchh likha naheen hai.
insaan to is zameen ke badlay huay hain lakin
taaray nayay naheen hain, sooraj naya naheen hai.
insaaniat key khoon say daaman hai surkh jiskaa
chashm-e-falak main hergiz wo paarsa naheen hai.
sar per teray " fareedi " phailaa hua hai kab say
keya cheez hai agar ye dast-e-duaa naheen hai
|
|
Back to top

#3 Mohammad Hidayatulla Fahmi
sadyoN se hai shanasa chehra naya nahiN hai
aayina sochTa hai chehre meN kya nahiN hai
donoN jahaN meN jab ke us ke siva nahiN hai
is dil ki anjuman meN bhi doosra nahiN hai
aaraisheN jahaN ki le kar maiN kya karooN gar
meri raza meN shamil teri raza nahiN hai
chaahe kisi pe aaye jab chaahe toot jaye
dil ka muamila hai meri qaTa nahiN hai
is daur ke hasinoN se Tang aagaya huN
nam-e-wafa nahiN hai pas-e-wafa nahiN hai
dunya sawaariyega uqba sawaariyega
zulfeN sawaarna hi ik mashGala nahiN hai
"ruq pher kar kisi ka dil ToRna bura hai
ik baat keh raha hooN shikwa gila nahiN hai"
qismat meN maut jab hai aakar rahegi fahmi
ilzam us pe mat do woh bewafa nahiN hai
|
|
Back to top

#3 Sajid Warsi Sajid
AankhoN say abtalak too ojhal hoowa naheeN hai
Tera pata hai lekeen mera pata naheeN hai
Teri wafa maiN janaN husnay wafa nahi hai
Ek baat kah raha hooN shikwa gila naheeN hai
Jiskay liye lootaee upnee mataey hustee
Ous say sila wafa ka mujh koo mila naheeN hai
Khshhali har taraf hai sub log mootmaiN haiN
Koochay mai teray shayed koyee gada naheeN hai
Baysood justujoo woh karta hai ab hawa ki
Ghar ka koyee daricha jis ka khula naheeN hai
Toota huwa sitara girta naheeN zameeN par
Mujh ko girane walae tujh ko pata naheeN hai
Parwaaz ki latafat ka hal kia kahay woh
Ehsaas ka parinda jiskay ura naheeN hai
Rahtay haiN chshm-e-tar main sajid woh bankey aansoo
Ek raaz hai yahi jo aansoo gira naheeN hai
|
|
Back to top

#3 Tanwiruddin Ahmad Phool
Daaman hai tang apna, dunyaa mein kiya naheen hai!
Ik baat kah raha hoon, shikwa gilaa naheen hai!!
Kaise sukoon mile gaa, har dam rawaan hai aalam
Rahvaar-e-waqt yaaro!pal bhar rukaa naheen hai!
Pheeke hain saare manzar, hai chaand mein bhi zardi
Bai-kaif hain nazaare woh dilrubaa naheen hai!
Keya husn? ishq kaisa? dunyaa kaa rang badlaa!
Dil, soaz se hain aari, rang-e-wafaa naheen hai!
Suhbat sanwaarti hai, suhbat bigaarti hai!
Fitrat mein apni koi hota buraa naheen hai
Bemisl hai musawwir lekin hai yeh haqeeqat
Faani hain naqsh saare, rang-e-baqaa naheen hai
Us ko na dekh paa-aen hai aur baat yaaro!
Andhere mein bhi apna saaya judaa naheen hai!
Tanhaai kaa hai aalam, keya maajra sunaaon!
Dil ke qareen woh aaya, aawaaz-e-paa naheen hai!
Milti hai keya halaawat sheereen labon mein uske!
Aai Phool!angbeen mein aaisaa mazaa naheen hai
|
|
Back to top

#6 Aneela Mahmood Qarar Jafree
ik baat keh rahaa hooN, shikwah gilaa naheeN hai
haaN zindagi sey mujhko koch bhi mila naheeN hai
merey bayaN maiN talkhi halaat ki ata hai
yey jhoot kaisey likhoN kay dil dukha naheeN hai
paani kay mua'maley pey jhagrey ghazab Khuda ka
yey arz-e-paak koi dasht-e-balaa naheeN hai
chashm-e-falak say ansoo beh beh kay keh rehey hein
namoos-e-ambiya kay sar per rida naheeN hai
yey alaam-e-junooN aor hosh-o-khird ki baateiN
daman ka chaak deikho abb tak sila naheeN hai
haq baat keh kay khud ko moshkil main daal leina
sach bolney ka yaan per koch bhi sila naheeN hai
hai raat ka musafir aor roshni ka taalib
mehtaab main jo deikho baaqi zia naheeN hai
iss mausam-e-alam main dil ko "QARAAR" kiya ho
dil ko sukooN khushi main laiken mila naheeN hai
|
|
Back to top

#7 Muhammad Munir Qasim
hoon qasim-e-zia main ghar main dea nahen hay
shauq-e-sukhanwari nay kuch bhi dea nahen hay
gardan zadan abas hoon aye jaan mud'daa sun
aansu chlak paray khud kuch bhi kaha nahen hay
tayri nazar main jis say fun motabar ho mayra
woh harf shaid ab tak main nay likha nahen hay
bay aah-e-neem shab kuch milta nahen khuda say
hum ghaflaan-e-shab ka phir kia khuda nahen hay?
kuch sazgaar anjum darkaar hain jafa ko
hum teera bakhtagaan ka shaywa jafa nahen hay
kioun ghair ko bataain hum wajh-e-bay qaraari
apna tu koi hamdam tayray siwa naheen hay
taqseem-e-hasrat o gham, hay karobaar-e-"qasim"
maqsoom hay yeh uss ka, qasim bura naheen hay
|
|
Back to top

#8 Sajid Hashmi Sajid
Ek bat keh raha houn shiqwa gila nahein hai
Wo gham mera nahein jo tujhse mila nahein hai
Rah-e-junoon me mujhko kya kya mila nahein hai
Zulm-o-sitam ka dekho kya silsila nahein hai
Kuchh aur hai mohabbat kuchh aur hai ibadat
Tou sirf ek sanam hai koee khuda nahein hai
Mehboob mere tujhme jaise ke mein chhupa houn
Tujhme mein dikh raha houn tou aaina nahein hai
Tanhaiyaan mere ghar ruswaiyaan muqaddar
Taqdeer se khafa houn tujhse gila nahein hai
Mein houn bura ye maana aaqa mujhe bachana
Koee mera muhafiz tere siwa nahein hai
Hai ger qalam me taqat SAJID likho mohabbat
Tou sirf aadami hai tou devta nahein hai
|
|
Back to top

#8 Yasir Farooq Yasir
Mere kholoos ko wo peh’chanta naheeN hai
Ik baat keh raha hooN shikwa gilaa naheeN hai
Kerta hooN shairi ger meri khata naheeN hai
Qudrat ka faisala hai meri razaa naheeN hai
MaiN hooN keh muntazir hooN aaya keh ab wo aaya
Wo hai keh apne gher se ab tak chalaa naheeN hai
Meri gali se baadal berse baghair guzre
Khush hooN gali koi aur sehra-numaa naheeN hai
Kab se tumhari yadaiN aai nahiN haiN mujh ko
Kab se teri gali maiN jaana howaa naheeN hai
Gulshan ke baagh’banooN ! AaN’khaiN to apni kholo
Ser ser chali hoi hai baad-e-sabaa naheeN hai
Tum kiya karo ge darmaaN nazraiN tumhari bemaaN
Aah-o-buka hamari aah-o-bukaa naheeN hai
Kuch is tarah se yasir dil lag gaya hamara
Tora qafas ko lekin bhaga gayaa naheeN hai
|
|
Back to top

#10 Jhony Penta Tashna Ahmedabadi
duniyaa ki rifAtoN se koi vaastaa naheeN hai
sud o ziyaa ki fikr meN dil mubtelaa naheeN hai
duniyaa meri naheeN hai,uqabaa? pataa naheeN hai
eak baat keh rahaa hooN, shikwah gilaa naheeN hai
ay bewafaa tujhe bhi koi bewafaa milegaa
aadil hai wo, sanam ye koi bad_dua naheeN hai
daanaa they jitne haai wo deewaanaa ho gaye
akkiswiN sadii meN kyaa kyaa huwaa naheeN hai
kapaDoN ka pahennaa bhi yahaaN jurm ho gayaa
kyaa hai, agar iblees kaa moAjizaa naheeN hai
likhwaayaa jo kalam ne wahii maine likh diyaa
'tashna' teri hayaat ka kuch falsafaa naheeN hai
|
|
Back to top

#11 Mona Saeed Manzar
jo panaa chaha mainey mujhko mila naheeN hai
ik baat keh rahaa hooN, shikwah gilaa naheeN hai
chahat say meri iss tarah na aashnaa hai wo
sahra-e-dil main jaisey koi gul khila naheeN hai
so zakhm lag kay kho chukey apni nishaniyaN
hai dila ka zakhm aisa abb tak sila naheeN hai
rah-e-wafa main bichDrey hain koch iss tarah say hum
phoolooN ka khushbo'ooN se koch silsila naheeN hai
ik umr ho gai hai bichDrey huey magar
yadooN ka chadta suraj abb tak dhalla naheeN hai
"MANZAR" wo meri zaat ko sona bana gayaa
aisa jalaya ishq ney koi jala naheeN hai
|
|
Back to top


Previous Winners
May 2005
April 2005
March 2005
January/February 2005
November/December 2004
September/October 2004
July/August 2004
June 2004
 |
|
|