First site in the world to present mushairas on the Web 

  Home  |  About Us  |  Contact   |  Login  
Audio
Non Audio
Essays / Papers
In Your Area
News & Articles
Awards
Links
FAQs
Contribution
Credits

Guest Book
View  Sign


To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™

Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
 
No part of this site may be reproduced without permission

Legal Notice

   
Untitled

Poetry Competition Winners

The winner of June 2004 poetry competition, based on taraH misra
"Teray khayaal pay kiya kiya gumaaN nahiN guzray" is
Khozema Husaini of Khandwa, M.P., India.

The following is the list of top 10 participants. Mehfil-e-Mushaira would like to congratulate them all.


1. Khozema Husaini, Khandwa, M.P. India
2. Tanwiruddin Ahmad Phool, Karachi, Pakistan
3. Fateh ud din Bashir, Dubai, UAE
4. Ateeq Khan Saba, Shahjahanpur, U.P., India and
Naheed Virk, Madison Hgts., Michigan, USA
6. Aneela Mahmood Qarar Jafree, Karachi, Pakistan and
Syed Shiraz Mahdi Zia, Karlskrona, Blekinge, Sweden
8. Ansar Qureshi Asar Akbar Aabaadi, Missisauga, Ontario, Canada and
Mohammed Chughtai, Calgary, Alberta, Canada
10. Faisal Farani, Scarborough, Ontario, Canada


#1 — Khozema Husaini
India

woh bun ke faiz ka darya kahaan nahiN guzray
meri gali se hi bus mehrabaaN nahin guzray

woh imtehaN mujhe dene heN androon-e-lahad
meri hayat pay jo imtehaN nahiN guzray

firaq-o wasl ke so waswase huye paida
teray Khyal pay kiya kiya gumaaN nahiN guzray

tumhari talKh kalami se pash pash he dil
hamaray qalb se teer-o-sinaaN nahin guzray

banaye kon mohabbat ke our kuchh shahkar
ke is jahan se phir shahjahaaN nahiN guzray

husaini aap ki noha gari ke kiya maa'ni
jo gosh-e-yaar se aah-o-fugaaN nahiN guzray

talash-e-ilm me kar surf zindagi apni
husaini ek bhi pal rayegaaN nahiN guzray
  Back to top

#2 — Tanwiruddin Ahmad Phool

Teri raza kay liye ham kahan naheen guzray
Tere khayal mein kiya kiya guman naheen guzray

Madad ki aas liye thay rah-e-musibat mein
Samajhte jin ko thay ham mehrbaan naheen guzray

Kaheen ghira na ho woh majma-e-raqeeban mein
Chaley thay ghar se magar ham wahan naheen guzray

Junoon ki raah alag hai, khirad ki raah alag
Rah-e-wafa se kabhi nukta daan naheen guzray

Muhafizoon ka tasallut tha qasr-e-sultaan par
Sitam raseeda woh ahl-e-fughan naheen guzray

Sahar kay noor se milta hai walwala dil ko
Tuyoor shab mein kabhi par fishan naheen guzray

Yahaan pa aamad-e-gulcheen sada rahi aay Phool
Jo baghbaan thay sar-e-gulsitaan naheen guzray
  Back to top

#3 — Fateh ud din Bashir

Wafaa kay baab mein woh kushtagaan naheen guzray
Jo soo-e-maqtal-e-dil shadmaan naheen guzray

Teri duaaon ka ik saa’ibaan raha hamraah
Keh raah-e-ishq say ham bay-amaan naheen guzray

Lahoo ki boond too bazm-e-junoon mein laya hay
Teri nazar say abhi armughaan naheen guzray

Mushaam-e-jaan say mitay kyun tasawwur-e-janaan
Woh haadsay to abhi meri jaan naheen guzray

Dyaar-e-shauq mein rakhna qadam, sanbhal kay Bashir
Yahaan say bach kay kabhi kaarwaan naheen guzray
  Back to top

#4 — Ateeq Khan Saba

Jab is taraf se mere mehrban nahin guzre
woh din hayat ke mujh pe garan nahin guzre

hamare peechhe hi chalte hain karwan sare
hai sooni raah wohi hum jahan nahin guzre

hamesha khirki ka parda sarakne lagta hai
hum us gali se kabhi raayegan nahin guzre

rawish rawish meri roshan hai unke jalwon se
ab is taraf se koii kahkashan nahin guzre

bahut dinon se hai is dil ki sooni raahguzar
tumhari yadon ke bhi kaarwan nahin guzre

bahut pur - amn nazar aa rahi hai yeh basti
idhar se shayed abhi paasban nahin guzre

chuni hai hum ne "saba" bus woh raah apne liye
kabhi jahan se yeh ahl - e - jahan nahin guzre
  Back to top

#4 — Naheed Virk

havaa meiN uRte huve baadbaaN naheeN guzrey
barastey baadaloN ke kaarvaaN naheeN guzrey

voh bad.gumaaniyoN kee parChhaa'iyoN meiN rehtaa hai
udhar yaqeeN ke kabhee saa'ebaaN naheeN guzrey

maiN jin kee aaNkhoN meiN sab apney khavaab rakh detee
miree nigaah se voh mehrbaaN naheeN guzrey

muhabbatoN ke safar meiN ye kon kehtaa hai
ke dasht.e.chashm se aab.e.ravaaN naheeN guzrey?

jahaaN bhee chaahey uRaa kar mujhey voh laa jaa'e
sadaa kee lehr se aisey gumaaN naheeN guzrey

tiree sadaa'e musalsal kee gooNj thee, phir bhee
"tirey khayaal pe kyaa kyaa gumaaN naheeN guzrey"

ma'e hayaat ki talkhee sabhee ke hissey meiN aa'ee
jo merey jaisey thay tishna.labaaN, naheeN guzrey
  Back to top

#6 — Aneela Mahmood Qarar Jafree

hujum-e-dard sey hum bey-ama.N nahin guzray
tumharee ya'ad mein kab imtaha.N nahin guzray

issi sabab merey dushmen bhi waar ker na sakey
key unke koochey se wo raazdaa.N nahin guzray

hisaar-e-za'at key qaidi huiey peshema.N kiyo.N
khoshaa ay dil key woh meherbaa.N nahin guzray

kabhee woh porcish-e-ahwaal aur kaheen ansoo
"Teray khayaal pay kiya kiya gumaa.N nahiN guzray"

yonhi baghawat-e-duniya ka jurm ker bethey
bahar kia koi daur-e-khizaa.N nahin guzray

woofoor-e-shauq aur uss naam key tamannai
nishan-e-raah kee sooret kaha.N nahin guzray

kaheen fiza'aon main nauhey kaheen yeh shehnai
wojood chalnee huiey hukumraa.N nahin guzray

"QARAR" ghulta raha zeher innn fiza'aon main
sukoon-e-zaat key kia kia nisha.N nahin guzray
  Back to top

#6 — Syed Shiraz Mahdi Zia

Teray khayaal pay kiya kiya gumaaN nahiN guzray
Ye aur baat ke hokar ayaaN nahiN guzray

Falak hai dil kaa munawwar hazaar daaghoN say
nazar say aaj talak kehkashaaN nahiN guzray

wahee yaqeen kay mausam bayaan kartay haiN
ke jin ki soch say ab tak gumaaN nahiN guzray

rifaaqatoN ko jo jaanaa rafeeq ki maiN nay
meray hareef kay hamlay geraaN nahiN guzray

na jaanay kaun saa rastaa hai jaanib-e-manzil
ye jaannay ke liye hum kahaaN nahiN guzray

sawaal ye hai ke raahoN meN kyooN nahiN miltay
guzartay waqt to hum bay-nishaaN nahiN guzray

makaan jitnay jalaanaa hai tum jalaalenaa
jahaaN say koi bhee bay-aashyaaN nahiN guzray

tumhaari jang andheray say hai ZIA saahab
jahaaN pe tum ho,wo hargiz wahaaN nahiN guzray
  Back to top

#8 — Ansar Qureshi Asar Akbar Aabaadi

Miray khayaal say aisey makaaN nahiN guzray
Kay naqshe paa key Muhammad jahaaN nahiN guzray

Haseen khuaab ajab haadsay khudaa ki panah
Teray khyaal pay kiya kiya gumaaN nahiN guzray

Yeh khaar hi tu hamesha guloN ko dustay haiN
GuloN ko khaar kabhi bhi giraaN nahiN guzray

Subah say shaam unhiN ki talaash kay maaray
Hamunkay ishq meiN aakhir kahaan nahiN guzray

kisi nay jub bhi kiyay julm aur sitam jis par
Yeh such hai uskay fughaaN raegaaN nahiN guzray

khudi ka haal hamaari na poocH humsay "Asar"
Jahaan say guzray haiN woh hum wahaaN nahiN guzray
  Back to top

#8 — Mohammed Chughtai

Tere khayal mein kya kya guman nahin guzre
Rah-e-wafa mein hawadis giraan nahi guzre

Jo tere husn-e-mujassam ka samna kar le
Meri nigah se woh jism-o-jan nahin guzre

Khuda bachai hamein muflisi ke chungal se
Payambron pe bhala imtehaan nahin guzre

Basi hui hain meri aankh mein teri raahein
Teri talash mein janam kahan nahin guzre

Mayan-i-rah ma-abid bohot nazar aye
Magar kufar ke namood-o-nishan nahin guzre

Dayar-e-ghair mein sehme hue se baithe hain
Watan se door pareshaan kahan nahin guzre

Ye jaan-e kaun sa darul-amal hai chughtai
na ye zameen hai woh aasman nahin guzre
  Back to top

#10 — Faisal Farani

guzashta raat bhi sub raa.igaaN naheiN guzray
baras kay aaNkKh say baadal zayaaN naheiN guzray

miray yaqeeN ko saNbhala wafaa.oN nay warna
"tiray khayaal peh kiya kiya gumaaN naheiN guzray"

junooN ki raah meiN har suu khirad kay paththar thay
wafoor.e.shauq meiN laikin giraaN naheiN guzray

dinoN ki gard agarcheh bohut uuRhi dil meiN
qadam jo guzra tha uus kay nishaaN naheiN guzray

azal say waada.e.farda ka shore hae laikin
gumaaN ki raah say hum bud.gumaaN naheiN guzray
  Back to top


 
 




 
Want to sponsor this site?
Click here


 


Home    Poets    Latest    Humorous    Prominent Poets    Readers' Poetry
Competition    History of Ghazal    Articles    Schedule    Reports    News
Organizations    Awards    Links    FAQs    Contribution    About    Contact    Credits   

Copyright © 1998-2007. Mehfil-e-Mushaira. All rights reserved.