|
Guest Book
View Sign

To listen to audio clips on this site you need RealPlayer™
Copyright © 1998-2007
Mehfil-e-Mushaira
All Rights Reserved
No part of this site may be reproduced without permission
Legal Notice
|
|
Poetry Competition #3 Winners
The winner of September/October 2004 poetry competition, based on taraH misra
"mire nah hone se raaHat huyee zamaane ko" is
Syed Shiraz Mahdi Zia of Karlskrona, Blekinge, Sweden.
Syed Shiraz Mahdi Zia will receive an Urdu poetry book and an Award of Achievement from Mehfil-e-Mushaira.
The following is the list of top participants. Mehfil-e-Mushaira would like to congratulate them all.

| 1. |
Syed Shiraz Mahdi Zia (78 points), Karlskrona, Blekinge, Sweden |
| 2. |
Ateeq Khan Saba (74 points), Shahjahanpur, Uttar Pradesh, India and
Muhammad Usman Qaiser (74 points), Orangi, Sindh, Pakistan |
| 4. |
Abdulqayyum Rajab Ali Sahil (70 points), Jeddah, Saudi Arabia,
Irfan Haleem Barabankwi (70 points), Jeddah, Western Zone, Saudi Arabia,
Riaz Ahmed Saraa (70 points), Lahore, Punjab, Pakistan, and
Sabir Azimabadi (70 points), Landhi, Karachi, Sind, Pakistan
|
| 8. |
Amjad Nabeel (68 points), Doha, Qatar |
| 9. |
Aneela Mahmood Qarar Jafree (66 points), Karachi, Sindh, Pakistan and
Tanwiruddin Ahmad Phool (66 points), Karachi, Sindh, Pakistan |
| 11. |
Khozema Husaini Khandwi (64 points), Khandwa, MP, India,
Muhammad Obaidullah Sagar (64 points), Orangi Town, Karachi, Sind, Pakistan and
Sara Jabeen (64 points), Shiloh, Illinois, USA |
| 14. |
Jhony Penta Tashna Ahmedabadi (62 points), Ahmedabad, Gujarat, India |

#1 Syed Shiraz Mahdi Zia
Sunaa hai kehtay hue maiN ne ek diwaane ko
Hawaas khonaa parhegaa Hawaas paane ko
Wo aadatan hee chale aaye aaj maqtal meiN
ab unke jism pe hai sar naheeN kataane ko
hameshaa yaar hee zehmat kiyaa naheeN karte
kabhee haiN aaye adoo bhee mujhay mitaane ko
maiN ek khushee hooN, zamaanaa hai gham parastoN kaa
mire nah hone se raaHat huyee zamaane ko
dar-e-khayaal pe dee dard ne sadaa dastak
ke jab bhee dil meraa chaahaa qalam uthaane ko
ghazal kee raah-e-taraqqee meiN wo rukaawat haiN
jo keh rahayN haiN ghazal ishq ke fasaane ko
ZIA tum apnaa qadam phooNk kar rakhnaa
hai gumrahee bhee kharhee raastaa dikhaane ko
|
|
Back to top

#2 Ateeq Khan Saba
Tula hai naqsh-e-mohabbat hi ab mitaane ko
Na jaane ho gaya kya aaj kal zamaane ko
Nai bala na koi aasman se toote
Ki chahta hai yeh dil aaj muskraane ko
Nahin hai koi jo ab aayeena dikhaye use
"Mere na hone se raahat huyee zamaane ko"
Watan jo lauta to paya usi ko ghair ke saath
Gaya tha jiske liye door dhan kamaane ko
Teri gali se barhi is qadar meri raghbat
Ki bhool baitha hoon apne ghareebkhaane ko
Rahi hai daaira-e-shak mein jinki zaat sada
Woh aa rahe hain wafa meri aazmaane ko
Bus ek chiragh-e-mohabbat "saba" jalaya tha
Falak se toot paren aandhiyan bujhaane ko
|
|
Back to top

#2 Muhammad Usman Qaiser
Kaha tha tumsay yahaN kisnay dil laganay ko
Khata pay apnee na elzaam do zamanay ko
Wafa samaiT kay ahl-e-wafa sudhaar ga'ay
JahaN may rah ga'ay hum hi faraib khanay ko
Bachalo aik diya aandhyoN may bujhnay say
Bahut hai ek bhi, hazaroN diya jalanay ko
Tum apnay hissay ka gham bhi mojhay hi day jao
Sahonga haNs kay yeh ghum dosti nebhanay ko
Jo husn ahl-e-nazar ko haya say door karay
Laga do aag tum aisay nigar khanay ko
WahaN hawaili may ghee kay chiragh jaltay haiN
Taras rahay haiN yahaN log danay danay ko
Baja'ay ghatnay kay yeh shai tu aur baRhti hai
Lutao khol kay dil, elm kay khazanay ko
Faraq-e-yar kay mosam mai dard kay badal
Baras rahai haiN nayay zakhm-e-dil oganay ko
Nishat-e-rafta ka "Qaiser" malal kiya karna
Har aik shai yahaN aati hai lot janay ko
|
|
Back to top

#4 Abdulqayyum Rajab Ali Sahil
Karenge naqsh badeewaar ham zamaane ko
Qareeb kaukab-e-qismat hei jagmagane ko
BaRhaa tapak se wo jou gale lagane ko
HeiN beqaraar farishte bhi raaz pane ko
Charaagh-e-shehr-e-tamanna nah keejiye maddham
Abhi bahut hei jigar meiN lahu jalaane ko,
Micaal-e-khaar khataktaa rahaa main aankhaoN meiN
"Mire nah houne se raahat houi zamaane ko"
Pirorahaa hooN main tasbeeH ki tarah lamhaat,
Mujhe samaiT ke rakhnaa hei daane daane ko
Jadeed laayiye poushaak haaye Husn-e-ghazal
utaar deejiye ab is phaTe puraane ko
Ridaaye Husn hei saayah figan tou naz nah kar
bakhairde wo agar chaahe, taane bane ko
nazar se chashm-e-zadan ko na karske aujhal
Hazaar baar kahaa us ne bhool jaane ko
yahaaN tou khusk nahiN houti chashm-e-tar apni
Hayaat aap samajhte heiN muskurane ko
Kisi ke dast-e-duAaa ne sanbhaalaa aiy :SAAHIL:
Hamaari naauo wagarnah thee Dagmagane ko
|
|
Back to top

#4 Irfan Haleem Barabankwi
Chali hei barq-e-tapaaN phir use jalaane ko,
ChupaoN jaake kahaaN apne aashyane ko,
Tamazat-e-rah-e-seHraa nahiN thi kam lekin,
Saraab milte rahe tishnagi bujhane ko!
Naseeb-e-shamA-e-firouzaaN hei raakh houjanaa,
jale wo ta ba saHar teeragi miTaane ko
kiya tha khosha-e-gandum ne saraa hungamah
hunooz yad hei yeh waqiah zamane ko
Mazeed baar-e-gham-e-ishq dil pah mat rakhiye,
alam heiN zeest ke kiyaa kam mujhe uThane ko
Khuloos o mehr o wafaa se houve heiN dil khaali,
koiee bataaye hamaiN kiyaa houvaa zamane ko.
sajake dil meiN rakhaa hei Haseen yaadaoN ko,
Churaa nah le kahiN koiee mire khazane ko.
Dikhaayaa moAjizah unke jameel qadmaoN ne,
Iram banaadiyaa mere ghareeb khaane ko
hai iltifat-e-nazar unka ghair ki janib
yeh hourahi hei sharaarat mujhe sataane ko.
vujood se mire naalaaN thaa wo bahut :IrfaN:
"mire nah houne se raahat houvi zamaane ko."
|
|
Back to top

#4 Riaz Ahmed Saraa
koi to gham ho muhabbat ka gham bhulaane ko
kisi ke aariz-o-lab, chasm bhool jaane ko
jo sooda sar meiN samaaya hai kia karooN uska
keh chaahtaa hai usi mah jabeeN ke shaane ko
a'jeeb wahshitaiN phaili hu'ii haiN chaaroon taraf
taras ga'ae haiN yahaaN loog muskaraane ko
garifa dil huN bohat sun ke naalah-o-shewan
mughanni CHaiR kisi dilnasheeN taraane ko
kaheeN hai vajd kaheeN raqs aur dhumaal kaheeN
:maire na hone se raahat hu'ii zamaane ko:
udaas ham huN to aata naheeN koi nazdeek
udaas woh ho to dunia hai dil lubhaane ko
khayaal aaya jo dil ki udaasiooN kaa RIAZ
kuCh aaNsoo aa ga'ae palkaiN miri sajaane ko
|
|
Back to top

#4 Sabir Azimabadi
mai kis se jake kahoon dard ke fasane ko,
mera urooj na achcha laga zamane ko,
jinho ne apni hansi di thi bantne ke leye,
tarus rahen hain wahi log dane dane ko,
hawa bhi tez hai our berq bhio chamakti hai,
lachakti shakh pe rakhkho na asheyane ko,
eh kaisa hadsa-e-rozgar guzra hai,
raha na shahr men koi deya jalane ko,
bahut hi achcha ho ke main kahen chala jaoon,
mere wajood se pahuncha ha dukh zamane ko,
khataen bukhsh wo dega esi tamanna men,
saja raha hoon main sajdon se astane ko,
na koi der na dareecha khola kisi ghar ko,
batao jaoon kahan main sada lagane ko,
kisi ko murid-e-elzam kaise tharaoon,
mohafezon ne hi loota mere khazane ko,
sekhaya teer chalane ka fun jese sabir,
hadaf usi ne banaya mere thekane ko
|
|
Back to top

#8 Amjad Nabeel
maiN beqaraar hooN ik aur zakhm khaane ko
Khudaa ke vaastey aa jaa mujhe sataane ko
mataa-e-jaaN hai yehii dil agar tujhe de dooN
nahiiN rahe ga mire paas kuch ganvaane ko
mire nadeem mire saath saath chalna tum
khizar nahin hai koii raasta dikhaane ko
falak se ham ne to maangi thi roshni thoRi
ye bijliyaaN chaleeN kis kis ka ghar jalaane ko
malaa'ika ne bataaya tha baad-e-marg mujhe
"mire na hone se raahat huii zamaane ko"
maiN sochta hooN tujhe choR dooN sadaa ke liye
isi bahaane nayaa rang dooN fasaane ko
maiN kaj.adaaii ka shikvaa karooN to kis se karooN?
nahiiN hai yaar koii rooThne manaane ko
|
|
Back to top

#9 Aneela Mahmood Qarar Jafree
aik aor uzr wo layaa mujhey sataney ko
bana hai gheir ka mehmaaN mujhe jalaney ko
Kisi ki yaad ney hum ko to maar hi daala
Hei dil main dard siwa kia kahoN zamaney ko
Shikast-o-yaas se barh ker koi hareef nahin
Bana lia hei thikhanaa isi zamaney ko
khizaaN bureeda shajar bhi harey huey dekho
"merey na honey sey rahaat hui zamaney ko"
luta hei aaj hamara bhi jaan_o-dil ka qaraar
pila day jam-e-tarab saarey gham bhulaney ko
|
|
Back to top

#9 Tanwiruddin Ahmad Phool
Barae naam hi rasm-e-wafa nibhane ko
Chale bhi aao ke sabr aae is zamane ko
Tule jo bathe ho tum zindagi lutane ko
Kaha tha kis ne tumhein us se dil lagane ko
Tumhare tarz-e-taghaful ka yeh karishma hai
Mila hai ik naya unwaan is fasane ko
Sitam yeh barq ka dil se bhula naheen sakte
Lagai aag baharan mein aashyane ko
Zabaan-e-ashk ne lamhon mein daastan kah di
Raha na lab pe koi maajra sunane ko
Baqadr-e-zarf na milti ho mai jahan rindo
Laga do aag tum aaise sharab khane ko
Hai kaarfarma yahan kis ka dast-e-naadeeda
Chalaata kaun hai dunya ke karkhane ko
Chaman mein ilm-o-adab kay hain aaise laal-o-guhar
Na koi loot saka PHOOL is khazane ko
|
|
Back to top

#11 Khozema Husaini Khandwi
Giri thi barq to naam-o-nishaN miTaane ko
ata woh kar gai shohrat GHareeb KHaane ko
Daraaz arsaa huaa hay qafas basaane ko
Ab apna ghar meN samajhta hooN qaid KHaane ko
Faraib KHud ko diya hay sukoon paane ko
Bhulaa diya hay chaman aur aashiyaane ko
Mana raha hooN qafas meN ,meN jashn-e-barbaadi
Bahaana chahiye koi to muskuraane ko
Shikam ki aag ne jhulsaa diya mera eemaan
Zameer baich ke laya hooN aaj khaane ko
Ajal ne aah-o-bukaa se najaat di mujhko
Mere nah hone se raaHat huyee zamaane ko
Suna nahiN hay k hay ishq aag ka darya
Husaini phir bhi ho betaab dil lagaane ko
|
|
Back to top

#11 Muhammad Obaidullah Sagar
Bara nafees sabaq day gaya zamanay ko
wo aik shakhs jo aaya mujhay bachanay ko
Zamin kee bhee qabahat pa ghaur kar latay
chalay haiN chaand pa jo apna ghar bananay ko
Wo darsgah-e-mohabbat nahiN to phir kia hai
JahaN say roshni milti hai kul zamanay ko
Khoda kay qahr ka shayed unhaiN nahiN idrak
Jo log rayegaN kartay haiN aabo danay ko
Ghanay puranay darakhtoN ko katnay walo
kahaN say laogay teelee dia jalanay ko
Tazaday fikro amal ka ye shakhsana hai
dekha rahay haiN jo aankhaiN naye puranay ko
LaboN pe mohr lagee hai sakoot ki "Sagar"
MaiN muztarib hooN bohut, haley dil sunanay ko
|
|
Back to top

#11 Sara Jabeen
chale the hum teri mehfil mein muskuraane ko
ye baat ghair munasib lagi zamaane ko
mizaaj'e saaz'e muhabbat mein dilkashi hai bohat
nazar lage na kahin tere gungunaane ko
rah'e talab mein sukooN ki talaash thi lekin
mile ho tum tou faqat mera jee jalaane ko
hawaa'e tund mein hum dekhte hi rehte haiN
kabhi chaman ko kabhi apne aashiyaane ko
chaman mein ahle chaman kyun na khush raheiN janaaN
bahaar aayi hain lekin mujhe rulaane ko
|
|
Back to top

#11 Jhony Penta Tashna Ahmedabadi
bhalaai kehte hai duniyaa mein ab sataane ko
badii samajhte hai achho ke kaam aane ko
lagaa hujum hai, piine ko aur pilaane ko
kisi ko wakt nahin dii. ke paas jaane ko
meraa hasiino ki mehfil mein koi kaam nahin
main khaali dast hoon, kuch bhi nahin lootaane ko
be adl ko hii yahaan raahatein samajhte hai
mere na hone se raahat huyee zamaane ko
jo sher kehtaa hai mujrim hai ab zamaane mein
hunar samajhti hai duniyaa ghazal churaane ko
ye kaise ho ki tavangar banegaa 'tashna' bhi
usey na aayegaa muflis pe zulm dhaane ko
|
|
Back to top

Previous Winners
June 2004
July/August 2004
|
|
|